Sakoot-e-Jan ka matlab bata do phir chaly jana
Yaa Phir Shergoshiyan dil ki suna do phir chaly jana
Jo mera aur tumhara waqt guzra saath hasnay aur ronay mein
Usey Poori tarah se tum bhulado phir chaly jana
Kisi ko chahnay ka or kisi se chaahey jany
Jo hai ehsas tum usko bhulado phir chaly jana
Bas ik hansi se apny askhon ko chupanay ka
Jo Fun aata hai tumko wo shikha do phir chaly jana
Wo jo ik lafz-e-ulfat hai juda hay apny maaion mein
Bus in alfaz-o-maaion ko mita do phir chaly jana
Jo kehty kehty ruk gaye in sari baton ki
Samat ko talab hai wo suna do phir chaly jana
na jany kyun hai Lakin dekhnay ki tum ko aadat hai
Meri ye Be-wajha aadat chura do phir chaly jana
Mere In roz-o-shab ka ek faqt unwan bas tum ho
Mujhe tum dooosra unwan laado phir chaly jana
Labels: Poetry