Dukh Dard Ke Maron Se Mera Ziker Na Kerna
Ghar Jao To Yaroon Se Mera Ziker Na Kerna
WO Zabt na Ker Payn Gay Aankhon Ke Samandar
Tum Raah Guzaaron Se Mera Ziker Na Kerna
Phoolon Ke Nasheman Mein Raha Hoon Mein Sada Se
Dekho Kabhi Kharon Se Mera Ziker Na Kerna
Shyad Yeh Andharay Hi Mujhe Raah Dikhayein
Ab Chaand Sitaron Se Mera Ziker Na Kerna
Wo Meri Kahani Ko Ghalat Rang Na De Dain
Afsana Nigaron Se Mera Ziker Na Kerna
Shayad Wo Mere Haal Pe Be-Saakhta Ro Dain
Iss Baar Baharon Se Mera Ziker Na Kerna
Ley Jayengay Gehrayi Tumko Bhi Baha Ker
Deriya Ke Kinaron Se Mera Ziker Na Kerna
Wo Shaks Mile Tou Usey Her Baat Batana
Tum Sirf Isharon Se Mera Ziker Na Kerna
Labels: Poetry
0 Comments:
Subscribe to:
Post Comments (Atom)