Mere Saber ka na le imtihan
Meri Khamoshi ko sada na de
Jo tere begair na je saky
Usy Jeeny ki tu Dua na de
Tu Azeez Dil-o-Nazar se hai
Tu Kareeb Rag-O-Jaan se hai
Mere Jism-O-Jaan ka ye faisla
Kahin Waqt aur berha na de
Tujhe Bhool k B na Bhula Sakon
Tujeh Chah k b Na paa Sakon
Meri hasraton ko shumar ker
Meri Chahaton ka sila na de
Wo Tarap jo Shula-E-Jaan Mein thi
Mere Tan badan se Lipet Giye
Jo Bujha Sake To Bujha Issye
Na Bujha saky to hawa Na de
Tujhe Milen Agar Kabhi Fursatien
Meri Shaam Phir Se Sanwar De
Agar Qatal kerna hai to Qatal Ker
Youn Judaion ki Saza Na De
Labels: Poetry
0 Comments:
Subscribe to:
Post Comments (Atom)