Jin rahon pe ik umer tere saath raha hon
Kuch roz se wop rasty Sunn-saan bohat hain
Mil jao Kabhi Lout k Phir aaon na shayad
Kamzoor hon rah mein toofan bohat hain
Ik Tumhi nahi meri judai mein pereshan
Hum bhi to teri chah mein veeran bohat hain
Ik Terk-e-Wafa pe mein usy kesy bhula doon
Mujh per abhi uss shaks k ehsan bohat hain
Labels: Poetry
0 Comments:
Subscribe to:
Post Comments (Atom)