Mera khamosh reh ker b unhy sab kuch suna dayna

Mera khamosh reh ker b unhy sab kuch suna dayna
Zuban se kuch na kehna aankh se aanu baha dayna
mein iss halat se poncha haser waly khud pukar uthy
aa raha hai rasta dayna
Ejazat ho to keh don Qissa-e-ulfat sar-e-mehfil
mujhe kuch to fasana yaad hai kuch tum suna dayna
mein mujrim hon mujhe iqrar hai jurm-e-mohabbat ka
magar pehly khata per ghour ker lo
Phir SAZA dayna

1 Comment:

  1. Shazi said...
    Mashraqi larki...!!

    Mere piyar mein thi paagal woh...

    Mein bhi dil se chahta tha usay...

    Zamaane ki hawa thi lekin...

    Simt-e-mukhaalif mein, hamesha ki tarah...

    Woh bhi aakhir haar hi baithi...

    Mere mustaqbil ki adam yaqeeni se...

    Meri ghurbat ke ayĆ an andeshon se...

    Mere khud peh yaqeen ko jhutla kar...

    Jawaz, zamane walon ke jatla kar...

    Rawayaat-e-mashriq ki aandhi mein...

    Mujhe, mere ishq ko ganwa baithi...

    Ab woh dukhtar-e-mashriq,

    Unhi hawalon se...

    Guzre waqton ki chahaton ki....

    Tajdeed ki khawahaan hai...

    Mujhe yeh samajh nahin aati...

    Keh naam le k mashriq ka...

    Dilon ka tor dena hi...

    Aurat ki muhabbat hai...???

    Ya keh phir muhabbat mein....

    Mashriqyyat k hawale se...

    Mard ko bhi hasil hai...

    Koi haq bewafai ka...??

    Ya kisi ki bewafai peh...

    Phir se lout aane ka.........????

Post a Comment



Newer Post Older Post Home