Hasty Huy Aankhon Mein Kyun Aa jate Hain Aanso

Hasty Huy Aankhon Mein Kyun Aa jate Hain Aanso
Youn Khushi Ko Adhora Bana Jaty Hain Yeh Aanso
Dard Itna Hai Saha Khali Ho Giya Samandar Aankho Ka
Jany Kahan se Bher Jaty Hain Aankho Mein Yeh Aanso
Khush Hon Mein Koi Shikwa Zamany Se Na Takdeer Se
Meri Iss bat ko Jhoota Bana Jaty Hain Ye Aanso
Shayad Khabar hai Inko Bhi Kis Qadar Tanha Hon Mein
Tanhai Mein Mera Saath Nibha Jaty Hain Ye Aanso

0 Comments:

Post a Comment



Newer Post Older Post Home