Jab Kabhi Dil Ko Wo Yadon Se Rehai De Ga
Mere Ander Koi Toofan Sunai Dega
Uss Se Milte Hee Yeh Ehsas Hua Tha Mujhko
Ye Wohi Shaks Hai Jo Lambi Judai De Ga

TUM KIA JANO Jab Dil Udas Hota Hai

TUM KIA JANO
Jab Dil Udas Hota Hai
Dard Kuch Khas Hota Hai
Her SOch
Her Yaad
Her Baat
Her Pal Bara Be-Aas Hota Hai
Bas Ek Awaz C Hoti Hai
Wo B Be-Saaz C Hoti Hai
na Koi APna Sa Lagta Hai
Sab Ek Sapna Sa Lagta Hai
Yeh Dil Kyun Udas Hota hai?
TUM KIA JANO

Agar Tum Usko Na Pa Sako Jisko Tum Chahate Ho
To usey Zaror Apna Lena Jo tumhain Chahata Hai
Kyun K
Chahne Se Chahey jane Ka Ehsas Zada Khobsorat Hota Hai

Be-Hiss Hain Yahan Log
Bhala Soch k Kerna
Iss Dor Mein Logon Se
Wafa Soch K Kerna
Ek baar jo Rothy
To Mana Tum Na Sako ge
Ham Jese Wafa Daron ko
Khafa Soch K kerna
Gul Shaakh Se Bichery to
Kahin ka Nahi Rehta
Tum Zaat Meri Khud Se
Juda Soch K Kerna

Uss Se Juda To Hogaya Per Youn Laga Mujhe
Jese Jahan Mein Koi APna Nahi Raha
WO Bewafa Nahi Magar Itna Zaror Hai
Pehle Wo Jis Tarah ka Tha Wesa Nahi

Kisi Ko APne Aamaal Ka Hisab Kia Dete
Sawal sare Ghalat Thay jawab Kia Dete
Jo Ek Lafz Ki Khusbu ko Na Rakh Saka Mehfoz
Uske Haath Mein Sari Kitab Kia Dete

Piyas Aesi K Pee Jaon Aankain uski

Piyas Aesi K Pee Jaon Aankain uski
Naseeb Aesa K moyasar Zehar B Nahi
Be-Los Wafain Koi Hum Se Seekey
Jisey Toot K Chaha Usey Khabar Nahi

Uss Fizaa Mein Bhi Jalte Rahe Hum kisi K Liye
Jahan Chirag Taraste Thay Roshni K liye
Yaad Rahe Ga Ye Door-E-Hayat Bhi Humko
K Taraste Thay Zindagi Mein Zindagi K Liye

AB Mohabbat Ki Wakalat Nahi Ki Ja Sakti
Shehar Bher Se To Adawat Nahi Ki Ja Sakti
Mera Chehra Meri Aankhain hain Salamat Ab bhi
Kon Kehta HAi Wazahat Nahi Ki Ja Sakti
Baat Ye Hai K Koi Toot K Chahye To Sahi
Her Kisi Se To Mohabbat Nahi Ki Ja Sakti

Suno Kisi Ne Sach kaha Tha Ye

Suno
Kisi Ne Sach kaha Tha Ye
Mohabat Maar Nahi Sakti
Magar
Adhora Sach Suna Humne
Mukamal Sach To ye Hai Ke
Mohabat Khud Nahi Merti
Mohabat Maar Deti Hai

Mujhse Kehti Hai Tere Saath Rahon ge Sada
Bohat Pyar Kerti Hai Mujhse Udasi Meri

Kahan Mumkin Tha Mein Dilse Teri yadain Mita Deta
Bhala Kesy Mein Jeeta Phir Agar Tujh Ko Bhula Deta
Teri Ruswai K der Se Labon Ko Si Lia Werna
Tere Sehhar-E-Munafiq Ki Mein Bunyadain Hila Deta
Ki Tarq-E-Wafa Usne To Hogi Uski Koi Majbori
Jisy Berson DUA di Thi Usey Bud-DUa Kia Deta

Kisi Se Rishta Gehra NA Kerna
Bhool Ker Bhi Adhoray Sapnay Na Sajana
Zindagi Mein Kisi Se Dil na Lagana
Kyun Ke
Gehre Rishte
Adhuray Sapne
Aur
Dil Akser Toot Jate Hain

Haqeeqat Aashna Mere
Tujhe Shayad Khabar Hogi
Mujhe Teri Mohabbat Ne
Bohat Buz-Dil Bana Dala
Mein Her Uss Shay Se Derta Hon
Tujhe Jo Cheen Sakti Hai
Judai Jin MeiN Rehti Hai
Mein Un Ashkoo Se Derta Hon
Jo Ben K Yaad Behte Hain
MEin Un Lafzon Se Derta Hon
Jo Khamoshi MeiN rehte Hain
Bichernay Ki Mere Hum-Duum
MeiN Her Surat Se Derti Hon
Tujhe Shayad Khabar Hogi
Mujhe Teri Mohabbat Ne
Bohat Buz-Dil Bana Dala

Tum Bhi Mujhe Chaho Gay Ek Din Dekhna
Haan Pachtao Ge Ek Din Dekhna
Iss Ishq NE Mujhe Jalaya Hai
Tum Bhi Jal Jao Gay Dekhna

Aesa Nahi K Shaks Acha Nahi Hai Wo
Jesa MEin Ne Socha Tha Wesa NAhi Hai Wo
Takhleeq Aasamaan Pe Wo MEre Liye Hua Hai
Mana K Iss Zameen Pe Wo MEra Nahi HAi WO

Loq Pochte Hain
Tum Kyun Apni Mohabbat Ka Izhar Nahi Kerte Ho
MeiN ne Kaha
Jo Lafzon Mein Bayan Ho Jaye
Sirf Utna Hum Kisi Se Pyar Nahi Kerte

Mujhe Teri Batain Tera Qissa Acha Lagta Hai
Tujhse Mera Jo Rishta Acha Lagta Hai
Tere Saath Jo Guzre Bas Wohi Pal Hain Mere
Hana Mujhe Wo Apni Hayat Ka Wo Hissa Acha Lagta Hai

Tumhe Kahabar Hee Nahi Tum jo Lot Jao ge
Tumhare Hijar Mein Lamha Hona Hai
Hamari Roh Pe Jab Bhi Aazab Utrain Ge
Tumhari Hee Mohabbat Ko Iss Dil Ki Dhaal Hona Hai

Teri Ghaflaton Ko khabar Kahan
Mere Haal-E-Dil pe Nazar Kahan
Tu jafa Ki Had Mein Na Aa saka
Mein Wafa Ki Had Se Guzar Gia

Wo Mujhse Poch Raha Tha Batao Kesa Laga
Tum Agly Zakham Choro Yeh Ghao Kesa Laga
Ajab Sawal Kia Andhiyoun Ne Patton Se
Shajar Se Toot Ker Girna Batao Kesa Laga

Mere sath rehta tu mera hota
Tery dil me kisi ka na basera hota
Ban k jugnu mai deta roshni tujko
Meri ankhon me kitna bhi andhera hota

Rat k tanha lamho main
Koi ahat mujh se kehti hai
Is dil main halchal rehti hai
Koi jugno pas se guzre tou
Koi baat halak se nikle tou
Main khudse uljhne lagta hon
Phir jane kya kya kehta hon
Phir yad tumhari aati hai
Phir pal do pal k lamhe ko
Yeh sans meri ruk jati hai
Ik shola dil main bharakta hai
Woh dard sehar tak rehta hai
Phir weham mujhy yeh kehta hy
Koi meray Dil me rehta hai

Mujrim bhi tha mohsin bhi mera lagta tha
dst-e-katil bhi mjhy dast-e-hina lgta tha
Ary daikhny waly to usy daikhty reh jaty thy
han wo shaks mohabt ka khuda lgta tha
kanton bhari shakh nazar ata tha kabi
phool lgta tha kabi bad-e-saba lgta tha
ab logon sy pochta phirta hai mare ghar ka pata
main jisy sare zamany sy bura lgta tha
us ki batein thin ravayat sy hat kar MOHSIN
sub main rehta tha magar sub sy juda lgta tha

WO Baat Baat Pe Deta Tha Mujhe Parindon Ki Misaal

Saaf Saaf Nahi Kehta Ke Mera Shehar Chor De

Bicherte Waqt Kyun Na Perh Saka Nighaon Ki Zuban
Usey To Iss Fun Per Pura Uboor Tha
Ab Ek Mujrm Ki tarah Nadim hai Mujhe Chah ker
Kabhi Is Khata Per Usey bara Garor Tha

Yeh jo tum kehte ho k tumhe dosti se nafrat hai
Tu yeh kyo nahin kehte k tumhe mujh hi se nafrat hai
Ek mujh hi ko kyon zindgi mili hai,
Kyo mujhe hi dosti ki hasrat hai,
Yeh na kehna k chod don ga tumhe,
Beshak yeh tumahri fitrat hai,
Kyon mai har insan ko acha samjhta hon,
Mujhe apni is nayab adat p herat hai,
Vo mujhe mashvare tu deta hai,
Beshak yeh teri sazish b kayamat hai,
Mai tumhe sahara Dena chahta hon,
Na jane kyo tumhe tanhai se muhabat hai,
Kyo tum ne yeh faisla kar lea hai,
Kyo tumhe mujh hi se nafrat hai:

Mere be-rabt khayalat me kya rakha hai!
Main to pagal hon, meri baat me kya rakha hai!
Baandh rakha hai teri yaad ne maazi se mujhe!
Werna guzray huwe lamhat mein kya rakha hai!
Tu jo mil paye to aur khuda se kya maangu!
Tu alag ho to meri zaat me kya rakha hai

MerA Apna Na Tha koi mere siwa,


Main Ne chahA kisi ko, Na chaha Gaya,


Main Nee jitne Mohabbat Bhare khat likhe,


Un pe apne hi Ghar ka pata likh Diya...

Tumharay na hony se kuch bhi nahi badla
Ye suraj bhi waha se nikalta hai
Asman pe tary b chamaktey ha,
Or chand k chandni b hoti ha,
Hawa b chalti ha
Darya b behty ha
Phool b khilty ha
In me khushbu b hoti ha
.
.
*LEKIN*

.
.
Na jany kyo tumhary na hony se har chez adhori
c lagti ha.
Hur subha,
Sham c lagti ha.
Har muskan udas c lagti ha,
Har mehfil anjan c lagti ha,
Har dharkan
be-jan c lagti ha,
SACH...
To ye ha k sari dunya VERAN c lagti ha.

Aashna H0te Hue B Aashna K0i Nahi

Jante Hain Sab Mujhe Pehchanta K0i Nahi

Mukhtasar Lafz0n Me Ye Hai Mizaaj-e-"D0STI"

Rabta Beshak Hai Sabse Wasta K0i Nahi

Mein Ne Aazad Kia APni Wafaon Se Tujhe
Bewafai Ki Saza Mujhko Suna Di Jaye
Mein Ne Mangi Thi Ujale Ki Faqt Aik Kiran
Tumse Ye Kis Ne Kaha Aag Laga Di Jaye

Usey Barison Ne Chura Lia
K Wo Badlon Ka Makeen Tha
Kabhi Murr Ke Yeh B To Dekhta
K Mera Wajood Zameen tha
Wohi Ik Sach Tha aur is k baad
Sari Tuhmatain Jhoot Hain
Mere Dil Ko Poora Yakeen Hai Wo
Mohabbaton Ka Ameen Tha
Usey Shook tha K Kisi
Jazeeray pe Uske Naam Ka Phool ho
Mujhe Pyar Kerna Shika Gia
Mera Dost Kitna Zaheen tha
Kabhi Sahilon Pe Phiro Ge To
Tumhain Sipeyan Hi Batayeen Gee
Meri Aankh Mein Jo Simat Giya
Wo Ashk Sab Se Haseen Tha

Youn Gawara Nahi Jeena Bin tere Mujhe

Youn Gawara Nahi Jeena Bin tere Mujhe
Kyun Hai Juda Koi To Wajha Bata De
Kuch Aur Nahi To Kar Itna Karam
Jahan Tu Yaad Na Aye
Koi Aesi Jagha Bata de

Ye Jo Mosam Hai Guzer Jaye Ga

Ye Jo Mosam Hai Guzer Jaye Ga
Dil Uske Baad Shayad Behal Jaye ga
Uski Bewafai Per Matem Kyun Kerain
Mujhko Malom Tha Wo Ek Roz Badal jaye Ga

Koi talab B nahi Aur Sogwaar B Hoon

Koi talab B nahi Aur Sogwaar B Hoon
Pukarta B Nahi Mehv-E-Intizar Bhi Hoon
Na Jane Kitne Iradon mein Bat Gia Hon
Wajood Bhula dia Hai Usey Aur Beqarar B Hon

AB Ke Kerna To Aesi Chahat Kerna
Jisko Aata Hee Na Ho Sikwa Shikayat Kerna
Pehly Khusbu Ke Mizaj Ko Parak Lo
Phir Gulistan Mein Kisi Gul Se Mohabbat Kerna

Unhain Kissa-E-Gham Sunate Sunate

Unhain Kissa-E-Gham Sunate Sunate
Kati Ratain Aansu Bahate Bahate
Kabhi Bujh Na Jaye Chirag-E-Tamana
Chirag-E-Mohabbat Jalate Jalate
Kisi Ko Khabar Hee Nahi Lut Gaya Hon
Mohabat Ki Duniya Basate Basate
Keh De Koi Unse....
Wo Khud Baaz Aate Apne Sitam Se
Hum Thak Gaye Hain Manate Manate

Tujhe Mohabbat Kerna Nahi Aata

Tujhe Mohabbat Kerna Nahi Aata
Aur Mujhe Mohabbat K Siwa Kuch nai Aata
Zindagi Guzarnay K bas Do Hi tareekay hain
Aik tujhe nahi Aata Aik Mujhe Nahi Aata

Nafrat Kabhi Na Kerna Tum Hums

Nafrat Kabhi Na Kerna Tum Humse
yeh Hum Kabhi Na Seh payn Gay
Aik Baar Keh Dena Humse Zaroorat nahi Ab Tumhari
Hum Tumhari duniya Se hans Ker Chale Jayn gay

Doubte Hue Soraj Ko Dekh Ker

Doubte Hue Soraj Ko Dekh Ker
Wo Mujhse Kehne lagi
Mujeh Wahan Le Chalo
jahan Zameen Aur Aasman
Apas Mein Milte Hain
Mein Ne Kaha pagli
Kabhi Zameen Aur Aasman
bhi aapas Mein Milte Hain
Yeh To Nediia Ke Doo Kinare Hain
Jo Saath Saath To Chalte Hain
Magar Apas mein Kabhi nahi Milte
Kehne lagi Hum In Kinaron K
Oper Aik Pull banain gay
MeiN ne Kaha
Sahare Na-Paidaar Hote Hain
Pull jab Toot'te Hain To
Aur Bhi Door Ho Jate Hain

Aashna Hote Hue Bhi Aashna Koi Nahi

Aashna Hote Hue Bhi Aashna Koi Nahi
Jante Hain Sab Mujhe Pehchanta Koi Nahi
Mukhtaser lafzon Mein Ye Hain Mizaj-E-Dosti
Rabta Beshak Hai Sabse Wasta Koi Nahi

Dua Badal Deti Hai Taqdeer Usey Kehna
WO Dil mein Basa LAin Meri Tasveer Usey Kehna
Wo Mere Saath Chalne Ka Khuwab To Dekhe
Mil Hee Jaye Gee Koi Tabeer Usey Kehna

Dil Mein Teri Yaad Ke Nistar Uter Gaye
Kitne Sitare Aankhon Se Toot Ker Bikher Gaye
Aajo K Taras Giyn Meri Nighain
Dekha Nahi Tumhain Ke Bohat Din Guzer Gaye

Yahan Apni Apni Bari Per

Yahan Apni Apni Bari Per
Sab Hanste Hain
Sab Rote Hain
Dil To Sab Ka Hota hai
Aur Dukh B Sab Ke Hote Hain
Kuch Ashk Dilon Per Girte Hain
Kuch Mitii Mien Mil Jate Hain
Kuch LAfz Aada Ho Jate Hain
Kuch Honton Mein Sil Jate Hain
Mana K Adhure Rehte Hain
Per Khuwab To Sab Ke Hote Hain

Mulaqatain Adhori Hain

Mulaqatain Adhori Hain
Bohat Batain Adhori Hain
Milo To Kuch Kahin Tumse
Milo To Kuch Sunain Tumse
Tumhare Pyar Ki Batain
Hamare Dard Ke Qissy
Milo To Kuch Kahin Tumse
Tumhare Bin Jo Guzre Hain
Wo Din B Na-Mukamal Hain
Milo To Kuch Kahin Tumse
Milo To Kuch Sunain Tumse

Yaar Bhi Raah Ki Dewar Samjhte Hain Mujhe
Mein samjhta Tha Mere Yaar Samjhte Hain Mujhe
Mein To Youn Chup Hoon K Ander Se Bohat Khali Hon
Aur Sab Log Pur-Israr Samjhte Hain Mujhe
Mein To Badalte Huy Halaat Mein Dhal Jata Hon
Dekkhne Wale Adakaar Samjhte Hain Mujhe
Wo Jo Uss Paar Hain Un Ke Liye Mein Iss Paar Hoon Mein
Wo Jo Iss Paar Hain Uss Paar Samjhte Hain Mujhe
Naik Logon Mein Mujhe Naik Gina Jata Hai
Aur GunahGaar GUNAH-GAR Samjhte Hain Mujhe

Majbori Hamari Wo Jaan Na Sake

Majbori Hamari Wo Jaan Na Sake
Armano Ko Hamare Wo Man Na Sake
Wo Kehte Hain Hame Mar Ke bhi Chahenge
Jite Ji Jo Hame Pehchan Na Sake

Wafa Ki Aas Mein Hum Sabhi ka Saath Nibhate Rahe
Wohi Hum Ko Sada Yaad Aye Jo Hame Bhulate Rahe
Dil Viraan Tha Honton Per Hansi Sajate Rahe
Khush Fehmion Se Hum APne Dil Ko Behlate Rahe
Begane Ben Gaye Sabhi Jinhain Hum APna Banate Rahe
Sabhi Bewafa Thay Hum To Younhi Her Kisi Ko Aazmate Rahe

Mere Wajood Ki Mujh Mein Talash Chor Gia
Jo Pori Na Ho Kabhi Aesi Aas Chor Gia
Ye Karam Nawazi Uski Mujh Pe Kam Hai Kia
K Khud Door Hai Yadain To Pass To Chor Gia
Jo Khuwaishain Thi Kabhi Hasraton mein Dhal Gaye Ab
Mere Labon Pe Wo Aik Lafz KAASH Chor Gia
Yeh Mera Zarf Hai Ek Roz Usne Mujhse Kaha
K Aam Logon Mein Ek Tujh Ko Khaas Chor Gia
Baharon Se Mujhe Isi Liye Tou Nafrat Hai
Inhee Ruton Mein Mujhe Wo Udas Chor Gia

Agar Kabhi Kitab Likhna

Agar Kabhi Kitab Likhna
Chahton Ke Naam Likhna
Rafaqaton ke Naam likhna
Tumhari Mujhse Dosti Ki
Wo Pehli pehli Baat Likhna
Payam Likhna Wo Dosti Ke
Qabooliyat Ke Muqam Likhna
Wo Hijar Raton Ki Baat Likhna
WO Wasal Din KiMulaqat Likhna
ikhtatam-E-Kitab Aye To Soch Lena
Yaad Kerna
Aur
APna Mera Naam Likhna

Dil-E-Nadan barish Ki Tarh Barasna Chor De

Aise Hee Tere barasnay Se Koi Pigle Ga Nahi

Bana Ajnabi Mera Hamsafer

Bana Ajnabi Mera Hamsafer
Aur Nazar Bacha Ke Guzar Gia
Mein Tha Raston Se Be-Khabar
Usey Manzilon Ka Shaoor Tha
Na Thi Aur Koi Bhi Ranjisain
Sirf Aadaton Mein Tazad Tha
K Usey Pasand Thi Bewafai
Mujeh Apni Wafa Pe Ghuroor Tha

Ik Shaks Paas Reh K Bhi Samjha Nahi Mujhe
Iss Baat Ka Malal Hai Sikwa Nahi Mujhe
Mein Usko Be-wafai Ka Ilzam Kese Doon
Uss Ne Tou Ibtida Hi Se Chaha Nahi Mujhe

Daag-E-Tamana Laga Hai Dil per

Daag-E-Tamana Laga Hai Dil per
Tera Naam hee Likha Hai Dil per
Mein Jo Toot Gia Phir Simat Na Paon Ga
Totay Ga Phir Jor Jaye Ga Bharosa Hai Dil Per

Wafa Ki Dastan-E-Gham
Chalo Tumko Sunate Hain
Suno Neendain nahi Aati
K Dil Betab Rehta Hai
Kabhi Titli Ke Kache Rang
Kabhi jugnu Satate Hain
Suno Jab Sham Hoti Hai
Andheron Se Khafa Ho Ker
Teri yadon ke Mandir Mein
Chirag-E-Shab jalate hain

Chahye Hue Thay Badal Lakin Berse Nahi
Dard Bohat Tha Dil Mein Par Hum roye Nahi
Koi Na Hamara Jo Humse Poche Ke
Jag Rahe Ho Kisi K Liye Ya Kisi Ke Liye Soye Nahi

Yaad Aata Hai Saya Teri Qurbat ka

Yaad Aata Hai Saya Teri Qurbat ka
Teri Furqat Ki Dhoop Jab Jalti Hai
Bhoolne Wale Tujko Kuch Ehsas Nahi
Teri Yaad Mujhko Kitna tarpati hai

Ghari Bhar Mein Ujerna Aa Gia Hai

Ghari Bhar Mein Ujerna Aa Gia Hai
Hame Milke Bicherna Aa Gia Hai
Mere Aanso bhi Patton Ki Tarah Hain
Unhe Chup Chaap Jharna Aa Gia Hai

Ek Janaza Aur Ek Barat Takra Gaye

Ek Janaza Aur Ek Barat Takra Gaye
Unko Dekhne Wale Bhi Chakra Gaye
Uppar Se Awaz Ayi
Ye Kesi Vidai Hai
Mehboob Ki Doli Dekhne
Yaar Ki Mayyat Ayi Hai

Nahi Mujh Ko Bulao Tum
Tumhain Ghairon Ka Hona Hai
Mujeh AB Bhool Jao
Mere Her SMS Ko Perh Ke
Ab Khushi Mehsoos Mat Kerna
Abhi Unko Uraoo
Tumhain Ghairon Ka Hona Hai
Yehi To Akhri Shab Hai
Ke Kismat Mein Bicherna Hai
Zara Sa Muskurao
Tumhain Ghairon Ka Hona Hai
Mujhse Thay Jo Rishte Bhool jao
Tumhain Ghairon Ka Hona Hai

Mere Dil Mein CHuphi Her Baat Mat Pocho
Kese Guzertay Hain Mere Din Raat mat Pocho
Meri Be-Qarar Dharkan Meri Ashkbar Aankhain
Meri Be-Basi Ka Qissa Mere Jazbat Mat Pocho
Tumse Jab Na Mile Thay Yeh Haalat Nahi Thi
Kia Mili Hai Mohabbat Mein Soghaat Mat Pocho
Tum To Ben Chuke Ho Kisi Aur Ka Muqadar
Tanha Kese Jiye Gi Meri Zaat mat Pochoo
Kahin Suraj Chamakta Hai Kahin Pe Chandni
Kahin Kali Ghataon Ki Bhari Bersaat Mat Pochoo

Wo K Her Eahd-E-Wafa Se Mukarta Jaye

Wo K Her Eahd-E-Wafa Se Mukarta Jaye
Dil WO Zalim K Usi Shaks Pe Merta Jaye
Mere Pehlu Mein Wo Aye To B Khushbu Ki Tarah
Mein Usey Jitna Sameton Wo Bikherta Jaye

Mein Ne Tujhe Chaha Kya Meri Yehi Khata Hai
Meri Chahat Ki Kia Yehi Saza Hai
Ek Lamhe Mein Badal Dali Nigahain Tumne
Bas Itni Si Mohabat Teri Itni Si Wafa Hai

Wo Mile Tou Usey Kehna K Bohat Rote Hain Us Ke Bina
Jete Hain To Kabhi Merte Hain
Wo To Rehta Hai Mehfilon Mein
Ham Tanha Her Jagha Uske Bina

Mujhe Udas Daikh Kar Us Ne Kaha

Mujhe Udas
Daikh Kar
Us Ne Kaha
Mere H0te H0we
Tumhen K0i Dukh Nahi Day Sakta
Phir Aisa Hi H0wa
Baad Me Jitne Dukh Miley Sab Usi K Thay..............

Tum Idher Rukhsat Hue Jaan Edhar Nikli Meri
Kese Kese Hadse Sadgi Se Ho Gaye
Kuch Hame Bhi Mout Ki Aarzu Thi Ishq Mein
Raste Kuch Aasan Teri Be-Rukhi Se Ho Gaye

Ishq Ko Bohat Badnaam Likha
Waqt Ko Humne Ghulam Likha
Rait Pe Tera Naam LikH Ker
Apni Mohabbat Ka Anjam Likha
Neno Mein AIk Deep Jala Ker
Isko Chirag-E-Benaam Likha
Iss Nazam Ka Mein ne APni
Unwan Gham Ki Sham Likha

Meri Rooh Jese Kuchal Gia
Koi Shaks Aese badal Gia
Yeh Kis ka hard-E-Dua Raha
Ke Mein Girte Girte Sanbhal Gia
Meri Kismaton Ka Yeh Qafla
Kisi Aur Janib Nikal Gia
Mera Pathron Se Garoor Tha
Tere Aage Sara Pigal Gia
Mujhe Yaad Teri Jo Aa Giye
Mera Dard Jese Behal Gia

Din Akele Raat Tanha Kat Di Mein Ne

Din Akele Raat Tanha Kat Di Mein Ne
Doston Mein Sari Khushiyan Bant Di Mein
Jeevan Ki Bhag Dor Mein Mujhe Mila Hee Kia
Pane Ki Umeed Mein Zindagi Kat Di Mein Ne

Unko Bhi Humse Wesi Hee Mohabat Ho Zarori To Nahi
Aik Si Dono Ki Halat Ho Zarori Tou Nahi
Dil Ki Chahat Tou Kaie Khuawab Jaga Deti Hai
Han Magar Saath Mein Kismat Bhi Ho Zarori Tou Nahi
Meri Tanhayian Kerti Hain Jinhe Yaad Sada
Unko Bhi Meri Zarort Ho Zarori Tou Nahi
Muskurane Se Bhi Hota Hai Beyan Gham-E-Dil
Mujhko Rone Ki Bhi Aadat Ho Zarori Tou Nahi
Neend Tou Dard Ke Bistar pe Bhi Aa Jati hai
Unki Aagosh mein Ser Ho Zarori Tou Na

Kitna Saroor Raat Ki Tanhayioun Mein Tha
Chup Tha Ke Jese Chaand Bhi Ruswaiyoun Mein Tha
Sab Ja Rahe The Apne khudaon ko Poojne
Tab mein Tere Khial Ki Gehraion Mein tha

WO Saath Mere Behta Hua tha

WO Saath Mere Behta Hua tha
Per Kisi Aur Ke Kareeb Tha
Wo Apna Sa lagne Wala
Kisi Aur Ka Naseeb Tha

Bhool thi Meri jo mein ne tujhe apna mana
Teri Dosti Ko Mein Ne Teri Chahat jana
Mujhe Na Khabar Thi Ke Tu Aesa Hoga
Ke De Ker Zakham Iss Tarah Se Be-Khabar Hoga

Hua Kia Qasoor
Wajha To Bata Tere Jane Ki?
Dharkan To Chal Rahi hai Aur
Hai Aas Tere Aane Ki
Aakhri Sans Tak Kosis Keron ga
Meri Jaan Tujhe Manane Ki

Kaisi Mohabbat Kesi Chahat

Kaisi Mohabbat Kesi Chahat
Hum Per Sab Kuch Roshan Tha
Younhi Zaara Sa Shouq Hua tha
Aao Dil berbaad Kerain

Ab Kisi Aankh Ka Jadu Nahi Chalta Mujh Per
Wo Nazar Bhool Giye Hai Mujhe Pathar ker Ke
Pochna Chahon Uss Nigha-E-Dil Se
Kis Ko Aabad Kia Mujh Ko Berbaad Ker ke

Chup Rehte To Dum Ghut-ta Aur Dard Zada Hota
Kuch Moo Se Nikal Jata Tou Koi Khafa Ho Jata
WO Jab Bhi Zaara Rotha Chup Behte Rahe Hum Bhi
Aik Baar Mana Lete Tou Roz Khafa Hota

Mein Uske Hijar mein Kitna Udas Rehta Hoon
Yeh Sunn Ke Uska Bhi Chehra Utar Gia Hoga
Khushi Ki Dhoop Ne Sanwar Dia Hai Rang Uska
Udas Ho Ke Wo Kitna Nikhar Gaya Hoga

Kahin Bhi Ziker-E-Wafa Chirr Gia Tou Log Akser
Log Hawala Dene Lage Teri Bewafai Ka
Yeh Aur Baat Hai K Hum Zabt Ker Gaye Her Baat
Werna Dukh Tou Hua Hamain Teri Judai Ka

Tere Siwa KHUDA Ne Bohat Kuch aata Kia
Tujhko Na-Jane Kis Liye Mujhse Juda Kia
Wo Zindagi Jo Phool Se Zada Haseen Thi
Teri Talab Mein Humne Usey Bhi Khafa Kia

Dil Hai Nakam Iss Liye Chup hon

Dil Hai Nakam Iss Liye Chup hon
Dard hee Dard Hai Subha Sham Iss Liye Chup hoon
Keh To Doon Zamane Se Dastan Apne Dil Ki
Per Uss Mein AYe Ga Tera Naam Iss Liye Chup Hoon

LiKho To Kuch Aesa Ke Kalam Bhi Rone Pe Majboor Ho Jaye

Her Lafz Mein Wo Dard Paida Kero K Wo Pyar Kerne Pe Majboor Ho Jaye

Jisne Shaoor Dia Mujhe Muskurane Ka

Jisne Shaoor Dia Mujhe Muskurane Ka
Usey Shouq Hai Ab Mujhe Shab-O-Roz Rulane Ka
Jo Lehron Se Cheen Ker Laya Tha Kinare Per
Muntazir Hai Ab Wohi Mere Doob Jane Ka

Dukh Dard Ke Maron Se Mera Ziker Na Kerna
Ghar Jao To Yaroon Se Mera Ziker Na Kerna
WO Zabt na Ker Payn Gay Aankhon Ke Samandar
Tum Raah Guzaaron Se Mera Ziker Na Kerna
Phoolon Ke Nasheman Mein Raha Hoon Mein Sada Se
Dekho Kabhi Kharon Se Mera Ziker Na Kerna
Shyad Yeh Andharay Hi Mujhe Raah Dikhayein
Ab Chaand Sitaron Se Mera Ziker Na Kerna
Wo Meri Kahani Ko Ghalat Rang Na De Dain
Afsana Nigaron Se Mera Ziker Na Kerna
Shayad Wo Mere Haal Pe Be-Saakhta Ro Dain
Iss Baar Baharon Se Mera Ziker Na Kerna
Ley Jayengay Gehrayi Tumko Bhi Baha Ker
Deriya Ke Kinaron Se Mera Ziker Na Kerna
Wo Shaks Mile Tou Usey Her Baat Batana
Tum Sirf Isharon Se Mera Ziker Na Kerna

Uss Se Juda To Ho Gia Per Youn Laga Mujhe
Jese jahan Mein Koi Apna Nahi Raha
Wo Bewafa Nahi Magar Itna Zaror Hai
Pehle Wo Jis Tarah Ka Tha Waisa Nahi Raha

Kuch Wasl Aakhir Tak Moatber Nahi Hote
Saath Chalne Wale Bhi Hamsafer Nahi Hote
Kitna Khoaf Hota Hai Sham Ke Anderon Mein
Poch Unn Parindon Se Jinke Ghar Nahi Hote

Wo Keh Raha Hai Dil Se Mujhe Bhula Dega
Ajeeb Shaks Hai Itni Kari Saza Dega
Jafa Keron To Ehsas Usey Bhi Hoga
Wafa Keron To Konsa Sila Dega

Shakh Se Toot Girne Ki Saza Do Mujhko
Aur Pathar Hoon To Raste Se Hata Do Mujhko
Jiski Misal Zamane Mein Na Mile
Mere Dost Aesi Wafa Do Mujhko
Chootay Na Kabhi Saath APna
Bas Kuch Aesi Koi Dua Do Mujhko
Jeetnay Ki Aadat Hamesa Se Hai Mujhe
Magar
Tum Jo Chaho To Hara Do Mujhko

Uss Se Milne Ko Kabhi Hum Jo Machal Jate Hain
Tou Khialon mein Bohat Door Nikal Jate Hain
Agar Wafaon Mein Sadaqat Bhi Ho Shiddat Bhi
Phir To Ehsas Se pathar B Pighal jate Hain
Uski Aankho Ke Nashe Mein Hon jab Se Dooba
lar-Kharaty Hain kadam Aur Sambhal Jate Hain
Bewafai Ka Mujhe Jab B Khyal Aata Hai
Ashk Rukhsar Pe Aankhon Se Phisal Jate Hain
Pyar Mein Aik Hee Mousam Hai baharon ka
Log Mousem Ki Tarah Kesy Badal jate Hain

Her Aik Manzar Pe Udasi Chahi Hai

Her Aik Manzar Pe Udasi Chahi Hai
Chand Ki Rishni Mein Bhi Kami Aye Hai
Akely Achy Thy Hum Apne Aashiyane Mein
Jane Kyun Toot Ker Aaj Phir Apki Yaad Aye Hai

Kisi Ka Ishq Kisi Ka Khial Thay Hum Bhi
Gaye Dino Mein Bohat Ba Kamal Thay Hum Bhi
Hamari Khoj mein Rehti Thi Akser Titliyan
Husn-O-Jamal Thay Hum bhi
Zameen Ki Goud Mein Ser Rekh Ker So Gaye Aakhir
Tumhary Hijer Mein Kitnay Nidhal Thay Hum bhi
Hum Aks AKs Bikhertay Rahy Isi Dhun mein
K Zindagi Mein Kabhi La-Zawal Thay Hum Bhi

Kahan Talash Kerain Sakoon-E-Talash


Kahan Talash Kerain Sakoon-E-Talash
K Iss Jahan Mein Koi Tujhsa Dosra Nahi
Basa Hua Hai Mere Dil Mein Bu-E-Gul Ki Tarah
WO Door Door Hai Mujhse Magar Juda B Nahi

Chandni Raat Ka Mizaj Na Poch
Ham Gareebon K Ghar Nahi Aati
Neend Bhi Mout Ho Giye Hai Sajan
Bewafa Raat Bher Nahi Aati

Jo Maqsad Ho Sacha Wo Milta Zaror Hai

Jo Maqsad Ho Sacha Wo Milta Zaror Hai
Nikalta Hai Jo Umeed Liye Wo Pata Zaror Hai
BE-Wajha Nahi Rulta Ishq Mein Koi
Jisy Khud Se Berh Ke Chahoo WO Milta Zaror Hai

Jo Maqsad Ho Sacha Wo Milta Zaror Hai

Jo Maqsad Ho Sacha Wo Milta Zaror Hai
Nikalta Hai Jo Umeed Liye Wo Pata Zaror Hai
BE-Wajha Nahi Rulta Ishq Mein Koi
Jisy Khud Se Berh Ke Chahoo WO Milta Zaror Hai

Kaash Usey Keh Dety
Zara Dehan Rekhna Yeh Meri Pehli Mohabbat hai
Wafa ka Maan Rekhna Yeh Meri Pehli Mohabbat hai
Kahan Iss Umer Mein Hum Bhais Badlain Ge Faqeeron Ka
Milan Aasan Rekna Yeh Meri Pehli Mohabbat hai
Judai K Dino Mein Log Chehray Bhool Jate Hain
Meri Pehchan Rekhna Yeh Meri Pehli Mohabbat hai

Teri Nazar Ko Fursat Hee Na Mili Sachai Ki
Werna Mera Marz Itna B La Ilaj Na Tha
Humne Wahan B Mohabbat Banti Hai
Jis Shehar Mein Mohabbat Ka Riwaj Na Tha

Tum Zamane K Ho Hamare Siwa
Hum Kisi K Nahi Tumhare Siwa
Tumhain Yakeen Dilaye To Kis Tarah Aakhir K
Hamara Koi Nahi Tumhare Siwa

Bohat Khud Per Jabar Ker Ke
Mohabbat Ka Safar Ker Ke
Mita Ker Her Khushi Apni
Osy Pany Ki Chahat Mein
Mohabbat Ki Musafat Mein
Bas Itna Jaan Paye Hain
Mohabbat Mar Deti Hai

Konsa Zakham Tha Jo Taro-taza na Tha

Konsa Zakham Tha Jo Taro-taza na Tha
Zindgi Mein Itne Gham Thy Ke Andaza Na Tha
Unki Jheel Si Ankhon Ka Iss Mein Kia Qasoor
Dubne Walon Ko Gehrai Ka Andaza Na Tha

Her Bar Mujhe Zakhm-E-Judai Na Na Dia Ker
Agar Tu Mera Nahi To Mujhe Dikhai Na Dia Ker
Sach Jhoot Teri Aankho SE Ho Jata Hai Zahir
Qasmain Na Utha Itni Safai Na Dia Ker
Malom Hai Rehti Hai Tu Ab Mujhse Gure-Zan
Pass Aa Ker Mohabbat Ki Duhai Na Dia Ker
Urr Jayn To Phir Lot Ker Aate Nahi Wapis
Her Baar Parindon Ko Rehai Na Dia Ker

technorati cliam

Usne Raat Ke Andhary Mein
Mere Haath Ki Hateli Pe
Likha Tha Apni Ungli Se
Mujhe Pyar Hai Tumse
Jane Kesi Roshni Thi
K MIt'ti Nahi Aur Dikhti Bhi Nahi

Khushion Ki Aarzoon Mein Mukaddar Hi So Gaye
Aandhi Chali Aesi Ke Chahne Waly Hee Kho Gaye
Apne Bhi Mily Thy Kuch Isss Andaz Se
Humdard Ben Ke Aaye Aur Kante Chubo Gaye

Youn Mohabbat Amar Nahi Hoti

Youn Mohabbat Amar Nahi Hoti
Jab Tak Aik Dosry ki Fikar Nahi Hoti
Youn To Tumse Shikway Hazaron Hain
Magar Tum Bin Zindgai Basar Nahi Hoti

Mera Seeda Saadha Mijaz Tha

Mera Seeda Saadha Mijaz Tha
Mujhe Ishq-O-Husan Ki Kia Khabar
Teri Ek Halki Si Tabassum Ne
Mere Sary Zoq Badal Diye

Iss Dil Mein Bas Tanhai Thi
Her Tarf Bej Rahi Shahnai Thi
Mien Ne Sham Bhar Kaha Hal-e-Dil
Wo Yeh Samjha Ke Rubai Thi
Chalo Ab Kis Se Gila Kerain
Ye Jan Lo Ke Pazirai Thi
Mein Her Pal Uske Saath Tha
WO Yeh Socha Ke Perchai Thi
Hai Sift Na Soch Ab
Ke Zaat Uski Herjai Thi

Meri Her Ik Ada Mein Chupi Thi Us Ki Mohabbat
Usne Mehsoos Na Kia Yeh Aur Baat hai
Mein ne Her Dam Uske Hee Khuwab Dekhy
Mujhe Tabeer Na Mili Yeh Aur Baat Hai

Haath Seene Pe Na Rekh K Dikhao Mujhko
Mere Toote Hue Dil Ki Wo Sada Yaad Kero
Mein Ne Mana Ke Wafadar Nahi Ho Lakin
Tum Kisi aur Ko Meri tarah Se Berbaad Na Kero

Aana KI Baat Hai Werna Mohabbat Ab Bhi Baqi Hai
Usey Meri Mujhe Uski Zarorat Ab Bhi Baqi Hai
Koi Muskil Agar Darpaih Ho to Lout Ker Aana
Tumhare Waste Dil Mein Aqeedat Ab Bhi Baqi Hai
Yeh Kia Khela Hai Ulta Khel Mere Saath Kismat Ne
Sar-E-Manzil Khara Hoon Aur Musafat Ab Bhi Baqi hai

Jis Shaks Ke Begair Guzara Na Ho Saka

Jis Shaks Ke Begair Guzara Na Ho Saka
Ye Kia Sitam K Wo B Hamara Na Ho Saka
Ankho Ne Jiske Waste Sadiyoun Safar Kia
Wo Youn Mila Uska Nazara na Ho saka

Tumne Dekha Hai Suraj Ka Zameen Se Milna
Uss Se Milne Ke Liye Khud Ko Da-boo Deta Hai
Usko Kia Malom Uski Judai Mein Falak
Sari Duniya Ko Andhare Mein Samo Deta Hai

Dil Ki Dharkan Aur Sada Ho Tum

Dil Ki Dharkan Aur Sada Ho Tum
Meri Pehli Aur Akhri Wafa Ho Tum
Chaha Hai Tumko Chahat Se Barh Ke
Meri Chahat Aur Chahat Ki Intiha Ho Tum

Ab WO MEri Her Baat K Maani Poche

Ab WO MEri Her Baat K Maani Poche
Jo Meri Soch Ki Tafseer Likha Kerta Tha
Ehsas Dilaya hai To Milta Bhi Nahi Hai
Ajnabhi Tha To Roz Mila Kerta Tha

AIk kasak Si Hai Mere Dil mein K Malom To Ho
Chorr Ker Mujhko Wo Kis Haal mein Rehta Hoga
Hansta Hee Raha Aaj Jo Din Bhar Aese
Sari Raat Wo Teri Yaad Mein Roya Hoga

Tum Apni Sanso Se Meri Sansain

Tum Apni Sanso Se Meri Sansain
Alag Tu Kerny lagi Ho Lakin
Jo Kaam Aasan Samjh Rahi ho
Wo Kaam B Mumkin Nahi Rahe Ga
Ye Hum Mohabbat Mein La-Taluq
Se Ho Rahy Hain Tu Dekh Lena
Duian Tu Khair Kon Dega Khair
Salam Bhi Mumkin nahi Rahy Ga

Umer Guzri Hai Magar Ye nahi Malom Hua
Usko Meri k mujhko Zarorat Uski
Itni Shidat Se To mein ne bhi nahi chaha tha
Mujhse Nahi dekhi jati hai Mohabbat Uski

Bhulany Se Pehly Mera Kasoor To Bataya Hota
Itna Pyar Tha To Hum Pe Haq To Jataya Hota
Hum to Phir Palat K Ruk Jaty
Apny Haath Khol Ker Humy Wapid To Bulaya hota

Mohabbat Mein Lakon Zakham Khaye Humne
Afsos Unhain Hum Per Atibar Nahi
Mat Pocho Kia Guzerti Hai Dil Per
Jab Wo Kehty Hain Hume Tumse Piyar Nahi

Zara pany ki Chahhat mein Bohat Kuch Choot Jata hai
Na Jany Saber ka Dhaga Kahan Choot jata hai
Kise Ham-Rah Kehty Ho Yahan To Apna Saya Bhi
Kahin pe Saath Rehta hai aur kahin choot jata hai
Ajab Cheez hai ye Rishta Bhi Bohat Mazboot lagta hai
Zara Si Bhoiol se lakin bahroosa toot jata hai

Abhi Too Ishq Mein Aesa Bhi Haal Hona Hai
Ke Ashk Rokna Tumse Mohal Hona Hai
Her Ik Lab Pe Hain Meri Wafa K Afsany
Tere Sitam Ko Abhi Lazawal Hona Hai
Tumhain To Khabar Hee Nahi Tum To Lout Jao Gay
Tumhary Hijar mein ik lamha sal hona hai
hamari rooh pe jab bhi aazab utrain hain
tumhari yaad ko iss dil ki dhaal hona hai
kabhi to roye ga wo bhi kisi ki bahon mein
kabhi to uski hansi ko zawaal hona hai
milain gee humko bhi apny naseeb ki khushiyan
Bas Intizar hai k kab ye kamal hona hai
Her ik shaks chaly ga hamari rahon per
Mohabbbat Mein Humain wo Misal Hona hai
Zamana Jiske Kham-O-Peech mein Uljh Jaye
Hamari Zaat Ko Aesa Sawal Hona Hai
Yakeen Hai mujhko Wo Lout aye ga
Usy Bhi apny kiye ka malal hona hai

Saza Na Do Mujhko Be-Qasoor Hain Hum

Saza Na Do Mujhko Be-Qasoor Hain Hum
Thaam Lo Mujhko Ghamo Se Choor Hoon Mein
Teri Doori Ne Ker Dia Pagal Sa Mujhe
Or Logon Ka Kehna Hai k Meghroor Hoon Mein

Mein Ne Dekha Tha Faqat Zouq-E-Nazar KI Khatir

Kia Khabar Thi k Rag Rag Mein Sama Jao Gay Tum

Meri Tamana Hai K Mein Teri Aarzu Ben Jaon
Teri Aankh Ka Tara Na Sahi Aanso Ben Jaon
Mein Teri Khushi Benon Na Banon
Mein Tere Gham Mein Tera Sahara Ben Jaon

Tera Lehja Teri Batain Achi Lagti hain
Teri Sochain Teriu Yadain Achi Lagti hain
Tu Ab De Ilzam Ya De Apni Chahat
Ab Teri Sari Sogatain Achi Lagti Hain

Tumko AIk Talkh Haqeeqat Bhi Bata Dety Hain
Jisko Akser Log Chupa Dety Hain
Tu Ne Girty Huy Paton Ko Dekha Hoga
Apni HEr Sans Wo Tanhai Pe Gawa Dety Hain
Kitna Khoob Sajaty Hain Baharon Mein Sajar Ko
Aur Kari Dhoop Mein APna Aap Jala Dety Hain
Kitny Be-Raham Sajar Hain Naye Paton Ki Khushi Mein
Pely Paton Ko Khizan Mein Gira Dety Hain

Teri hasraton K Aseer Ho Gaye

Teri hasraton K Aseer Ho Gaye
Hum To Bas Ghamo Ki Tasveer Ho Gaye
Kal Hum Mohabbatain Banta Kerty Thy
Aj Teri Mohabbat K Faqeer Ho Gaye

Wo Jazbon Ki Tijarat Thi Yeh Dil Kuch AUr Samjha Tha
Usey Hasney Ki Aadat Thi Yeh Dil Kuch Aur Samjha Tha
Mujhe Uss Ne Kaha Chalo Nayi Duniya Basaty Hain
Usey Soji SHararat Thi Yeh Dil Kuch AUr Samjha Tha
Hamesha Uski Aankho Mein Dhank Se Rang Hoty Thy
Yeh Us Ki Aam Haalat Thi Yeh Dil Kuch Aur Samjha Tha
Mein Uske Pass Baithi Dair Tak Ghazlain Uski Sunti Thi
Usey Khud Se Mohabbat Thi
"Yeh Dil Kuch Aur Samjha Tha"

Bicher Ke Aur Bhi Wo Mujhse Kareeb Hota Giya
Ke Apni Yaad Meri Zaat Mein Somota Gia
Wo Saath Hoty Howy Iss Qadar Kareeb Na Tha
Hua Jo Door Tou Phir Jism-O-Jaan Hota Gia

Mujse Her Baar Chura Leta Hai Nazerain Wo Shaks

Mein Ne Khagaz Pe Bhi Dekhi Hain Bana Ker Aankhain Uski

Yaro Mujhe Rony Se Mat Roko Aj

Yaro Mujhe Rony Se Mat Roko Aj
Khali Hai Meh-Khana Isse Bherny Se Na Roko Aj
Pini Hai Mein ne Aj Rat Bher
Bewafa Ko Yaad Kerny Se Na Roko Aj

Ye Kitabon Ke Qissy Fasano Ki Batain

Ye Kitabon Ke Qissy
Fasano Ki Batain
Nighaon Ki Jhilmil
Judai Ki Ratain
Mihabbat Ki Qasmain
Nibhanay Ke Wady
Ye Dhoka Wafa Ka
Ye Jhoty Iraday
Ye Batain Kitabi
Ye Nazmain Purani
Na LKikhna Inhay
Na Mehfoz Kerna
Ye Jazby Hain Bas
Inko Mehsoos Kerna

Gham-E-Zindgi ne la Ker humy Uss Jagha Per Mara
Jahan Uss Taraf Kinara Hai na Iss taraf Kinara
Yahan Kisko Itni Fursat Jo Hamara Haal Pochy
Yehi Mizaj Hai Sabhi ka Nahi Ziker bas Tumhara
Kahin kam Reh Gaye Hain Tere Ishq Ki Wajha Se
Tere Saath Bhi Khasara Tere Be-hair Bhi Khasara
Tere Saath Bety Lamhy Meri Zindgi Ka Hasil
Tere Baad Phir Kisi ne Nahi Pyar Se Pukara

Teri Ibtida Koi Aur Hai Teri Intiha Koi Aur hai
Teri baat humse houi To Kia Tera MUDA koi aur hai
Humy Shouk Tha Bari Dair se k Tere Sharek-e-Safer Bany
Tere Saath Chal k Khabar Howi K Tera Rassta Koi Aur Hai
Tujhe Fiker Hai k Badal Dia Mujhe Gardish-E-Shab-o-Roz nay
Kabhi Khud Se bhi To Sawal Ker Tu Wohi hai Ya Koi aur hai

Koi Rishta Toot jaye Dukh To Hota Hai

Koi Rishta Toot jaye Dukh To Hota Hai
Apne Ho Jayn Peraye Dukh To Hota Hai
Hum Mer Jayn Ehd-Wafa Nibhaty Nibhaty
Aur Unko Yakeen Na Aye Dukh To Hota Hai
Mana Hum Nahi Pyar k Qabil Magar
Iss Tarah Koi Tukhraye Dukh To Hota Hai
Jiski Khatir Sajayen hum ne Bazm-E-Zeest
Wohi Zindgi Mein Na Aye Dukh To Hota Hai

Bicher Jana Uske Liye Koi Maani Nahi Rekhta
Jafaon Ka Hisab Wo Zubani Nahi Rekhta
Rota Nahi Yaa Usy Rona Nahi AAta
Sangdil Hai Yaa Aankho Mein Pani Nahi Rekta

Kesy Beyan Keron Alfaz Nahi Hain

Kesy Beyan Keron Alfaz Nahi Hain
Dard Ka Mere Tujh Pe Ehsas nahi Hai
Pochty Ho Mujhse Kia Dard Hai Mujhe
Dard yehi Hai k Tu Mere Pass Nahi hai

Yahan Mohabbat Ki Manzil Mila Nahi Kerti
Yahan Dard-E-Dil Ki Dawa Huwa Nahi Kerti
Iss Duniya Mein Rehna Hai To Wafa Mat Kero
Yahan Wafa Ki Qeemat Mila Nahi kerti

Logon ne Mere GHAM ka Tamasha Bana Dia
Mere Chaman K Saath Mera DIL bhi Jala Dia
Apno Ne Mere Pyar ka Kuch Youn SILA Dila
Ulfat Ke Badly Khoon ke AANSOO Rula Dia

Kisi k Bichernay Se
Kisi K Yaad Aany Se
Bohat Se Log Roty Hain
Aik Rewait hai
Rewait Tor Jata Hon
Tumhari Yaad Aany Per
Mein Akser Muskurata Hoon

Kabhi Wo Samnay Aa Ker Mila Nahi

Kabhi Wo Samnay Aa Ker Mila Nahi
Mein Uss Se Baat Keron Itna Hosla Bhi Nahi
Wo Mangta Hai sitaron Ki Roshni Lakin
Hamary Pass To Mitti Ka Ek DIYA bhi Nahi

Hasty Huy Aankhon Mein Kyun Aa jate Hain Aanso
Youn Khushi Ko Adhora Bana Jaty Hain Yeh Aanso
Dard Itna Hai Saha Khali Ho Giya Samandar Aankho Ka
Jany Kahan se Bher Jaty Hain Aankho Mein Yeh Aanso
Khush Hon Mein Koi Shikwa Zamany Se Na Takdeer Se
Meri Iss bat ko Jhoota Bana Jaty Hain Ye Aanso
Shayad Khabar hai Inko Bhi Kis Qadar Tanha Hon Mein
Tanhai Mein Mera Saath Nibha Jaty Hain Ye Aanso

Khushboun Ki Tarah Meri Har Sans Mein

Khushboun Ki Tarah Meri Har Sans Mein
Pyar Apna Basany Ka Wada Kero
Rang Jitny Tumhari Mohabbat K Hain
Mere Dil Mein Sajany Ka Wada Keroo
Hay Tumhari Wafaoun Pe Mujhko Yakeen
Phir Bhi Dil Chahata Hai Mere Dil Nasheen
Youn Hi Meri Tasali Ki Khatir Zara
Mujhko Apna Banany Ka Wada Kero
Jab Mohabbat Ka Iqrar Kerty Ho Tum
Dharkano Mein Naya Rang Bherty Ho Tum
Baarhaal Ker Chukey Ho Magar
Aj Phir Mujhko Apna Banany Ka Wada Kero
Sirf Lafzon se Iqrar Hota Nahi
Ik Janib Se Pyar Hota Nahi
Mein Tumhain Yaad Rekhny Ki Khaon Qasam
Tum Mujhko Na Bhulane Ka Wada Kero...

Jany Waly Mujhe Aik Sham Suhani De Ja

Jany Waly Mujhe Aik Sham Suhani De Ja
Chandni Raat Ki Koi Anmol Kahani De Ja
Mer k Jo Khatam Na Ho Dil mein rahy
Aesi Koi Un-mit Nishani De Ja
Tum De Doo Mujhe Ghari Bher Ka Milap
In Taron Ko Bhaly Rait-E-Veerani De Ja
Waqt-E-Rukhsat Wada Wafa Ka Ker K
Hum Ko Jiny K liye Itni Aasani De Ja
Wo Intiha Ka Janoon Jisko Na Pohnca Majno
Wo Wafa Jo Pohnchi Na Thi Koi Heer Aesi Dewangi De Ja
SHarab Kia Cheez hai Saqi Mujh Per Itna Karam Ker
Jis Mein Aks Unka Nazar Aa jaye Wo Pani De Ja
Cheen Le Mujhse Duniya Mehfil Tilismee
Her Tarf Tu Hee Tu Ho Aesi Verani De Ja

Kahan Kahan Se Sameton Shakista Khuwabon Ko
K Zabt-E-Gham Ka Nahi Saleeka Aankho Ko
Ajab Bahar-E-Khizan hai Chaman Mein Ab Koi Bahar
Hawa Jrati Phiri Mere Khushk Paton Ko
Abhi To Rona Bohat Hai In Udas Aankho Ko
Abhi To Umer Ka Ye Dasht Paar Kerna Hai
Chirag Kerna Hai Kuch Be-Chirag Raton Ko
Wo Rasta Bhi Ajab Tha Wo Hamsafer Bhi Kamal Tha
Jo Mujhko Sonp Gia Sar-Phiri Hawaon Ko
Mein Bhool Jata Hoon Her Subha Tera Nama Magar
Mein yaad Kerta Hoon Her Raat Teri Baton Ko

Aik Ghazal Wo Bhi Sunain To Maza Aye Ga
Kuch Aanso Wo B Bahain To Maza Aye Ga
Keh Do Saqi Se Mera Gham Bohat Gehra hai
Wo Nazron Se Pilain To Maza Aye Ga
Sunn K Mera Gham Wo Bohat Roain Gay
Aaj Phir Mehfil Mein Bhulain To Maza Aye Ga
Nafrat Hee Sahi Koi Rishta To Hai Qaim
Wo Dushmani Bhi Nibhain To Maza Aye Ga
Uss Zahar Ko Bhi Hum Jaam Samjh Lain Gay
Wo Apny Honton Se Pilain To Maza Aye Ga

Aay Baad-E-Saba!
Uss Nagar Bhi Ja
Usey Itna Bata
Dewana Tera
Kehta Hee Raha
Azrah-E-KHUDA
Ker Itna Bhala
Rukh Apna Dikha
Masoom Shakal
Teri Aankh Ajal
Teri Baat Ghazal
Tere Hont Kanwal
Sultan-E-Wafa
Itna To Bata
Tujhe Mere Siwa
Kahin Chain Mila...???

Ab kia Likhain Khagaz per
Ab Likhny Ko Kia Baqi Hai
Aik Dil Tha Wo Toot Gia
Ab tootnay ko Kia Baqi Hai
Aik Shaks Ko Humne Chaha Tha
Aik Rait Pe Naqsh Banaya Tha
Wo Rait To Kab ki Bikher Giye
Wo Naqsh Ab kahan Baqi Hai
Hum Jinko Apni Nazmon ka
Unwan Banaya Kerty Thy
Lafzon ka Bana K Taaj Mahal
Khagaz Per Sajaya Kerty Thy
Wi humko Akela Chor Gia
Sab Rishton se Moonh MorR Gia
Ab Raste Sary Soonay Hain
Wo Piyar ab Kahan Baki hai

Judai Zindgi mein zarori To Ho sakti hai
Chahny Walon Se Duri B Ho Sakti hai
Sab Ko Sab Kuch Mily ye mumkin to nahi
Kisi ki Kismat Adhuri bhi to ho Sakti hai

Usko Faqat Itna Bata Dena

Usko Faqat Itna Bata Dena
Itna Aasan Nahi Hai Bhula Dena
Teri Yadein b Tere Jesi Hain
Unhain Aata Hai Bas Rula Dena

Jis Per Maan Tha Herjai Nikla

Jis Per Maan Tha Herjai Nikla
Mera Saya Bhi Meri Tanhai Nikla
Jisy Her Shab Dukh-ray Sunaty thy
Aakhir wo Chand bhi Ik Tamashai Nikla

Wo Tum Na Thy Ek Khial Tha
Meri Soch Ka Hee Kamal Tha
Wo Ulfatain Wo Mohabbatin
Meri Uljhano Ka Hee Jaal Tha
Mere Dil mein Thin Jo Ronqain
Wo Tera Hee Hasn-e-Jamal Tha
Mujhe Jawab Jiska Mila Nahi
Wo Aesa Hee ik Sawal Tha
Wo Aaj Giya Tou Ehsas Hua
Kis Qadar Mujhe Uss Se Piyar Tha

Toot Ker Zara Dekhoo
Tum agar Bikher Jao
bebasi Mein Ghir Jao
Dil Se Ik Sada Dena
Bas Mujhe Bhula Dena
Mein Tumhein Sanbhal Longa
Zindagi Mein Chalne Ka
Rasta Badalny Ka
Ek Hunar Sikha Doonga
Tumko Hosla Donga
Aur Jab Tum Sanbhal Jao
Roshni Mein Dhal Jao
Mujhko Youn Sila Dena
Tum Mujhe Bhula Dena...

Raakh Ho Giya Chaman Armano Ka

Raakh Ho Giya Chaman Armano Ka
Naam-O-Nishan Bhi Na Bacha Mere Afsano Ka
Barbadi Per Ranj-O-Gham Kesa Yaroo
Hashar Yeho Hota Hao Dewano Ka...

Koi Moujza Ya WO Kooi Kamal Kery

Koi Moujza Ya WO Kooi Kamal Kery
Usey Kaho Wo Rabta Bahal Kery
Judai Katna Uske liye Bhi Muskil Hai
Wo Mera Nahi To Apna hee Kuch Khial Kery

Na Fiker Ferda
Na Yaad-e-Mazi
Na Chain Dil ko
Na Be-Qarari
Na Hud Se Guzra Hua Junon Wo
Na Khamosh Wo Pehly Jesi
Bas Aik Udasi Hai Dheeemi Dheemi
Bas Aik Khamoshi Hai Be-qarari
Jo Zindgi Ke Adhoray Pan Ko
Hadon Se Aagy Berha Rahi Hai
Shayad Teri Yaad Aa Rahi Hai
Haan
Teri Yaad Aa Rahi hai

Ab Ki Bar Wo nahi aaya bahar mein

Ab Ki Bar Wo nahi aaya bahar mein
Guzer Giya Ek Aur Baras(Saal) Intizar Mein
Ye Aag Ishq Ki hai Bujahany Se Kia Bujhy
Dil tere Bas mein hai na mere Ikhtiyar mein

Logon Ne APna Hunar Dikaya B Bohat Hai
Ja Ja k Usy manaeya B Bohat Hai
Sach Pocho to Dil ko acha bohat laga hai
Wo shaks Jisne Dil ko dukhaya b bohat Hai

Teri Tanhaiyon Mein Shareek Ho Jaon

aTeri Tanhaiyon Mein Shareek Ho Jaon
Sochta Hon Akser K Tera Naseeb Ho Jaon
Na Rahy Kisi AUr ki aarzu tumko
Kabhi jo ho mumkin Mein Tere Itna kareeb ho jaon

Kia Gham hai Kia Khushi Hai Malom Nahi
Wo Apna Hai k Ajnabi Malom Nahi
Jiske begair Ek Pal Nahi Guzerta
Kesy Guzry Gee Umer Malom Nahi

Yadon ne Teri Mujhko Ghafil na hony dia
Raat bher mujhko sony na dia
Dil gham se choor tha aankhein udas thin
Mein manzil ki talash mein bohat door tak nikal gia
Bataon ne teri mujhko Khony na dia

Tera Muskuraty Huy Aana humko Acha Laga
Wo tera Sharam se Guzer Jana Acha laga
Door Se Dekhna Wo tera Pass aa ker
Nazerain Jukana Acha laga
Wo jo berson se tere seeny mein qaid hai
aankho se batana acha laga
Tera jaty waqt murr k na dekhna
Phir Qadmon ka ruk jana acha laga
Tu falak ki tarah chaya hai mujh per
Aj wo falak ka Toota Tara acha laga
Sunna hai Mohabbat mein hoty hain her tarf andahery
Aaj duniya ka wo Qool Sacha laga

Jab Teri Dhun Mein Jia Kerty Thy

Jab Teri Dhun Mein Jia Kerty Thy
Hum B Chup Chaap Piya Kerty Thy
Aankhon Mein Piyas Hua Kerti Thi
Dil Mein Tufan Utha KErty thy
Log Aaty Thy Ghazal Sun'nay Ko
Hum Teri Baat Kia Kerty Thy
Sach Samjhty Thy Tere Wadon Ko
Raat Din Ghar Raha Kerty Thy
Wo B Kia Din Thy Tujhe Bhula Ker
Hum Tujhe Yaad kia KErty Thy
Kal Tujhe Dekh Ker Yaad Aaya
Hum Bhi Kabhi Mohabbat Kia Kerty Thy

Ye Kon Aansoun ki Saza De Giya Mujhe

Ye Kon Aansoun ki Saza De Giya Mujhe
Jeeny Ki Jate Jate Dua De gia Mujhe
Aankhon Mein Mere Kab Se Hai Tofan Rakha Hua
Khul K Na Berse Aesi Ghata De Gia Mujhe
Mazi K Roz-O-Shab Ko Bhoolon To Kis Tarah
Khushion ka Karb-Naak Sila De Gia Mujhe
Maqooz Ho Chuka Tha Mera Piyar
Kuch Soch Ker Hee Dard-E-Wafa De Gia Mujhe

Wo khatam qaid ki Miyad b nahi karta

Wo khatam qaid ki Miyad b nahi karta
Mgr main zehmat e faryad b nahi karta
Kabhi kabhi wo muje itna yaad aata ha
Main zid me aa k usy yaad b nahi karta

Mein Ek Kahani Likh Raha hon

Mein Ek Kahani Likh Raha hon
Soch Ki Zubani Likh Raha Hon
Iss Kahani mein Koi Kirdar Nahi
Mein Iss Mein Chuphi Tanhai Likh Raha Hon
Tanhaiyoun Ki Zubani Ek Aazab Likh raha Hon
Wo Jo Her Pal Saath Rehti Hai
Uss Hayat Ki Mout Likh Raha Hon
Koi Gunha Jo Serzad na Hua Kabhi
Uss Gunah Ki Saza Likh raha hon
Aagay ki Kia Khabar Kia Se Kia Ho Jaye
Mein To Guzray Huy Lamhon Ki Jada Likh raha Hon
Ek Boond B Muyasar Na Howi Piyasey Ko
Aur Mein Yahan Samandar Likh Raha Hon
Mein To Pagal Hon Jany kia kia Likhta hon
Shayad Apny Hony Ka Ehsas Likh raha hon

Tamam Gham Bhol Jane Ko G Kerta Hai

Tamam Gham
Bhol Jane Ko
G Kerta Hai
Ab Ek Bar
Muskurane Ko
G Kerta Hai
Boht Je Liye
Yadon k
Sahare
Ab Ap Ke Pass
Aane Ko G
Kerta Hai

Kia Bataon Ke Yeh Qayamat Kia Hai

Kia Bataon Ke Yeh Qayamat Kia Hai
Mein Ne Ghabra Ke Kaha Rooth Jana Uska
Mout Kehte Kisy Hain Jab mujhse pocha
Mein Ne Aankhein Jhuka Ker Kaha Roth Jana Uska

Guzre Huy Taveel Zamane K Baad

Guzre Huy Taveel Zamane K Baad
Dil Mein raha Wo CHor K Jane K Baad
Pehloo Mein Reh k Dil Ne Diya Hai Bohat Fariab
Rekha Hai Usko Yaad Bhoolne K Baad

Mein Khud Zameen hoon Magar Zard Aasman Ka Hai
K Toot k B mera Hosla Chatan Ka Hai
Bura Na Mano MEra Herf Herf Zehar Sahi
Mein Kia KEron k ye Hee Zaiqa Zuban Ka Hai

Kitny Pass Hain Hum Kitny Door Hain hum
KHUDA hee janta hai kitne Majboor hain hum
Saza Ye Hai k Mil Nahi Sakty
Gunnah Ye hai k Be-Kasoor Hain Hum

Tu Nafrat Ki Aag Pe Aik Aanso Baha K Dekh
Mohabbat Kitna Wazan Rekhti Hai Usko Azma K Dekh
Wo Roth Jaye Tujhse Bari Baat Nhi Hai
Tu Hans K AIk Baar Usey mana k Tou Dekh

Taluq Torr Mat Dena
Hazaron Doriyan Aayn
Baharain Aa Ker Kho Jayn
Mera Chehra Bhula Dena
Meri Yadain Bachaa Lena
Jo Lamhy Dard Dety Hain
Unhy Be-Shak Bhula Dena
Jo Lamhy Aas Dety Hon
Unhain Dil Se Laga Lena
Kahin B Door Reh Lena
Bohat Majbor reh Layna
Magar In Doriyin Ko Tum
Bahana Mat bana Lena

Tamam Shehar Ko Apny Khialf Ker Layty
Um Uske Jurm Ka Bhi Aytraf Ker Layty
Wo aik baar to Kehta Mujhe Mohabbat Hai
Rawatyon se b Hum Inheraf Ker Layty
Wo aik Barr b Humse Mila nahi Werna
Hum Uske Dil ko b Uske Khilaf ker layty

Ae Kaash Agar Tum Mil Jaty

Ae Kaash Agar Tum Mil Jaty
Iss Dil K Zakham Sab Sill Jaty
Zindgi Mein Baharein Aa Jati
Umeed k Gulshen Khill Jaty
Kia Jata Zalim Duniya Ka
2 Bichry Dil Agar Mil Jaty

Mujhe Kisi se mohabat Nahi tere Siwa


Mujhe Kisi se mohabat Nahi tere Siwa
Mujhe Kisi ki zarorat nahi tere siwa
Meri Nazar Ko thi Talash Jiski Berson se
Kisi k Pass wo surat nahi tere siwa

Jab Bhi wo Kehta Hai Shayad

Jab Bhi wo Kehta Hai Shayad
Apni her Baat mein
Mujhko Der Sa lagta hai
K Mein bhi Kahin SHAYAD na Hun
Uski Zaat mein

Kab Hui Piyar ki bersat mujhe yaad nahi
Mein To Madhosh tha Kuch itna Uski Chahat mein
Usne Kab chor dia Sath Mujhe Kuch Yaad Nahi

Lazmi to nahi zuban izhar kery

Lazmi to nahi zuban izhar kery
Kuch Jazboon ko EHSAS bhi HAWA dia kerty hain
Khamosh Mohabbat b Ibadat hai
Aesi Mohabbat ko Furistay b DUA dety Hain

Be-bas hai insan apni kismat k aagay

Be-bas hai insan apni kismat k aagay
Be-noor hain sapnay apni haqiqat k aagay
Koi in ruki dharkino se pochy
Kitnay be-bas hain insan apni Mohabbat k aagay

Koi Tumhe Bhool jaye To Kia Kero ga

Koi Tumhe Bhool jaye To Kia Kero gay
Sari Yadein mit Jayn To Kia Kero gay
Kisi ko chornay se pehlay ye soch lena
Koi Tumhe Chor jaye to kia kero gay

Kitab-e-Ishq Likhon aur tere naam keron
Tamam Umer ka hasil b tere naam keron
Tumhary pass nahi waqt meri zaat k liye
Mein zindgi ki her ik sans tere naam ker don

Meri Sadgi Mera Jurm hai
Yahan Chahton Ka Sila Nahi
Yahan Dosti Ka MAza nahi
Yahan Jany Kaisy Hawa Chali
Rahi Dosto mein wafa nahi
Yahan Jal Gia Mera Aashiana
Abhi Badlon ko pata nahi
Tere Dar pe Dastak de sakon
Ye Haq Tune Dia nahi
Mein Rahi Hon Rah-e-Umeed ka
Mujhe Manzilon ka pata nahi
Bebas hon jahan mein itna
Jesy mera koi APNA nahi
Meri Sadgi Mera Jurm hai
Koi Aur MEri Khata Nahi

Mera Milna Koi Muskil Nahi Hai

Mera Milna Koi Muskil Nahi Hai
Tu jab chaye mujhe zanjeer ker le
koi jadu nahi chalta hai mujh per
Mohabbat se mujhe takseer ker le

Wo kehty hain K agar Naseeb Hoga Mera
Tou Hum Unhe Zaror Paayen-gay
Hum Pochty hain unse
Agar Hum Bad-Naseeb Huy Tou
Unke Bina Kesy Jee Payen-gay

Uss Ne kaha k Ishq Ka Nasha Uter giya
Mein ne kaha Husn b Tumse Muker Gia
Ussne Kaha k Tujhko Dilani hain Chooriyan
Mein ne kaha ab wo zamana Guzer gia
Usne Kaha k Kia hai Kajal ki Dhaar se
Mein ne kaha Aankh se Deriya Guzer Gia
Usne Kaha Teri Chooriyoun se Dosti
Mein ne KAha Dil mera Duniya se Bher Gia
Usne Kaha Khuwab mein aanay ka waqt Do
Mein ne Kaha Neend ka Mousem Guzer Gia
Usne Kaha k Wo Nahi Dega Tumhara Saath
Mein ne kaha Chalo wo Wada to Ker gia
Aakhir Ko Tang Aa K Usne Kahi Itni Baat...
Wo tum kahan gaye Wo zamana Kidher gia?

Meri Khamosh Mohabbat Ka itna to sila dia hota
Kabhi Nazar-e-Chahat Se dekh hi lia hota
Hum tujhe Ishq-o-Mohabbat se aashna kerty
Bas Ik Baar apnay dil mein aanay to dia hota
Kia jata tumhara bus hamara dil khush ho jata
Apni zeest k kisi khanay mein
Naam hamara b likh lia hota
dekh lety Zara ghor se ik baar
Shayad tumhary haath ki lakiron mein
hamari kismat ka b dia hota

Chalo Ik Nazam Likhty hain
Kisi k naam likhty hain
Mager ye sochna hai ab
K us mein ziker kis ka ho
K us mein baat kiski ho
K us mein zaat kiski ho
Aur ye bhi ferz kerty hain
K jis pe nazam likhty hain
Hamay uss se Mohabbat hai
Hamary Saro Jazbo ko
Bas uski hee zarorat hai
Chalo ik kaam kerty hain
K hum jo nazam likhty hain
Tumhary Naam kerty hain
Tumhi Unwan ho iska
Tumhara Ziker hai iss mein
Tumhari baat hai iss mein
Tumhari zaat hai iss mein

Wo aana Perest Shai uski baton mein iqrar to hai
Uske Chubty Huy Lehjy mein mera piyar tou hai
wo mujhe likhta hai k muntazir na rahon
lakin uski tehreer mein sadiyin ka intizar to hai
Wo kehta hai k mat rotho k mana-na nahi aata
Lakin meri narazgi pe wo be-qarar to hai

Zara Tham Tham k bersa ker

Zara Tham Tham k bersa ker
Abhi Itna na rootha ker
Abhi to Door hai manzil
Abhi khud ko na tanha ker
Teri aankhein samnader hain
Samendar ko na sehra ker
Mera Dil doob jata hai
Mujhe Aesy na dekha ker
Hawa mujhse Kahe Pagel
Na Youn Raston mein behta ker
WO aik din Choor jaye ga
Usey Itna Na Chaha ker

Chahat hai mujhe tujhse
Teri Pakeeza Rooh se
Teri Lazawal dosti se
Teri Jheel si aankho se
Teri Masoom si baton se
Teri Shokh si aadaon se
Teri chanchal si sharat se
Teri kahi un kahi baton se
Teri Khankhanatio aawaz se
Tere saath bety aik aik lamhy se
Tere Labon k pechy chuphi muskurahat se
Or
Tere Dil mein Chupe Pyar se
Jo malom nahi mere naseeb mein hai yaa nahi

Ye Dard Mit giya tou phir
Ye zakham sil gia tou phir
Bicher k Sochta hon mein
Wo phir se mil giya tou phir
Mein Titliyoun k shehr mein rahon to mujhko fiqr hai
Wo phool jo khial nahi wo phool khil gia tou phir
Usey B kuch nahi mila
Mujhe B kuch nahi mila
Tamam Umer k liye Ye Dard Mil giya to phir
Mein issi liye aaj tak sawal b na ker saka
Agar mere sawal ka jawab mil gia tou phir
Ye theek hai k lout ker mere he dil mein aao gay
Magar ye soch lo zara agr ye dil badel gia tou phir

Sakoot-e-Jan ka matlab bata do phir chaly jana
Yaa Phir Shergoshiyan dil ki suna do phir chaly jana
Jo mera aur tumhara waqt guzra saath hasnay aur ronay mein
Usey Poori tarah se tum bhulado phir chaly jana
Kisi ko chahnay ka or kisi se chaahey jany
Jo hai ehsas tum usko bhulado phir chaly jana
Bas ik hansi se apny askhon ko chupanay ka
Jo Fun aata hai tumko wo shikha do phir chaly jana
Wo jo ik lafz-e-ulfat hai juda hay apny maaion mein
Bus in alfaz-o-maaion ko mita do phir chaly jana
Jo kehty kehty ruk gaye in sari baton ki
Samat ko talab hai wo suna do phir chaly jana
na jany kyun hai Lakin dekhnay ki tum ko aadat hai
Meri ye Be-wajha aadat chura do phir chaly jana
Mere In roz-o-shab ka ek faqt unwan bas tum ho
Mujhe tum dooosra unwan laado phir chaly jana

rzbtyNaam le le ker na mera shehr ki nazron mein aa
Mujhse milna hai to mere dil ke sehraon mein aa
Uss safer mein dekh ghul jaata hai mitti ka badan
Mujhse milny ki na khuawaish ker na barsaton mein aa
Log tujhko gun-gunyein meri khuwaish ki tarah
Ek choty shar ki sorat meri ghazal mein aa
Be-hunar logon ne phir manga mere fun ka saboot
aa meri sachai ki khushbu mere lafzon mein aa
ghar k derwazy pe aaker kyun qadam ruknay lagy
aa meri tanhai meri muntazir bahon mein aa

Aankhon se Tooty Hain sitary to Kia Hua
Chalty nahi wo saath hamary to kia hua
Toofano ki zad mein Azaem mere saath tha
Kashti ko mil saky na kinary to kia hua
Tanhayioun ne mujhko galy se laga lia
wo ben saky na dil se hamary to kia hua
100 hosly hamary qadam choomty rahy
Kuch be-sakoon raat guzri to kia hua
Manzil b karwan b musafir b khud raha
Saath banay na hamary chaand sitary to kia hua

Usey Kehna Mujhe Bewafa Shumar Na Ker

Usey Kehna Mujhe Bewafa Shumar Na Ker
Dil Ko meri Yaad Se Be-qarar na Ker
Usey Kehna Ye Doori To Halat Ki Majbori Hai
Magar Der-Haqeqat Tere Bina Meri Zindgi Adhori Hai
Usey Kehna Jo Hua mere Saath Tumhe Bataon Kesay
Iss Dil mein Kitnay Zakham Hain dekhaon kesy
Usey Kehna waqt ne jo zakham diye Munmil ho kayn gay
Gar-Kismat mein qurbat-e-Yaar Ho to mil jayn gay
Usey kehna Apna Khial rekhna
Tum Meri Amanat ho
Meri Aamanat Sanbhal rekhna

Jab koi khial dil se takra-ta hai

Jab koi khial dil se takra-ta hai
Dil na chah ker bhi khamosh ho jata hai
Koi sab kuch keh ker mohabbat jata-ta hai
Tou koi kuch na keh ker Mohabbat Nibhata hai

gardisain lot jati hain meri balaeen le ker
Gahr se jab mein Nikal-ta hon MAA ki DUAIN le ker
Labo Pe Uske Kabhi Bad-DUA nahi Hoti
Ek MAA Hai Jo Mujhse Kabhi KHAFA nahi hoti

Samjha Lo apny dil ko pyar na kery

Samjha Lo apny dil ko pyar na kery
Meri Filtrat hai Bewafai Izhar na kery
Humse Pao gay Dhoka Tum Yaad Rekhna
Pehly hee Kehty hain Koi Hamara Itibaar na kery

Kyun chup ker mohabbat kerty ho

Kyun chup ker mohabbat kerty ho,
Sang Chalnay ka dam bherty ho,
Jo sikhway gily hain keh dalo,
Kyun baat khulnay se derty ho,
Usey Bhool jao Jo guzar giya,
Kyun khud se itna Lerty ho,
Mujhe Bhi khud mein Shamil ker lo,
Kyun Tanha Aag mein jalty ho,
Be-Fiker ho jao ye jaan lo,
Tum mere dil mein rehty jo.

Mein haqiqat hoon samjhta hai wo afsana mujhe
Khud jalty hain bana ker apna perwana mujhe
Gardish-e-Dooran se keh do Hoosh ki batein kery
Gham ke Toofano se bhi aata hai takrana mujhe
Unse Unki Bazam mein itna hee keh k uth gaye
Ronaqain tumko Mubarak or Veeraniyan mujhe
Jaanay kia insan tha aashna lagta tha wo
Ker gaya sary shaanisaoun se be-gunna mujhe
Aesy chup chup ker kahan tak zehmat-e-jalwa gari
Haser jo bhi ho nazar aa be-hijaaban mujhe
Meri tark-e-Mehkashi per meri her tuba ke baad
ehtiraaman leyne aaya meer-r- maikhaana mujhe
Her naye saqi ne UFF hasb-e-Riwayat he dia
Mere hee khoon-e-jiger se bher ker pemanay mujhe
dekh ker iss dil ki thandi aag mai jalty howy
Ho gaye rukhsat duayain de ker perwany mujhe

Mohabbat Maharban Hogi Pereshan tum nahi hona
Kabhi Chup ker nahi rona
Judai Zahar hoti hai
Mujhe Malom Hai lakin,
Firaq-o-Hijer Ka Mosem Yakeenan beet jaye ga,
Yakeenan Wasal k lamhy Dobara lout Aayn gay,
Wo shamain,
Wohi Ratain,
Wohi Qissy,
Wohi Batain,
Wohi Phir Dastan Hogi,
Mohabbat Meharban Hogi

Humain Tumse Mohabbat Hai Hamara Imtihan Le Lo,
Agar Chaho To Dil le Lo Agar Chahao To Jaan Le Lo,
Humy Tum Bhool Mat Jana Ye Ik Feriyad Kerty Hain,
Wafa Ki shart Se bhi hum tumko Azad kerty Hain,
Zuban b Hum ne kholnay Gay Zuban le Lo,
Agar Chaho To Dil le Lo Agar Chahao To Jaan Le Lo,
Zamana Kuch Nahi Aik Rangeen Dhoka Hai,
Tumhary Piyar pe Lakin humko Poora bhrosa hai,
Khizan k gham humain de Do,
Baharon ka saman le lo...!

Kabhi mujhse youn na roothna tum

Kabhi mujhse youn na roothna tum
Agar Rooth jao to jaldi maan jana tum
Jab mujhse tum rooth ker jaty ho
Jab tum mujhse youn door chaly jaty ho
Meri Khushiyan le jaaty ho
Mujhe tanhai mein akela choor jaty ho
Mein Ghamon mein youn mubtla ho jata hoon
Tumhari yadon mein uljh sa jata hoon
Kabhi mujhse youn na roothna tum
Agar rooth jao to jaldi maan jana tum
Jab tum nahi hoty to mein muskurana bhool jata hoon
Her waqt Khamosh sa rehta hoon
dil her waqt tumhe hee pukarta hai
Jab tum youn khafa ho ker jaty ho
dil dharkna chor deta hai
Mujhe tanhai mein jab youn chor jaty ho
kabhi na mujhse youn na roothna tum "KAASH"
Agar Rooth jao to jaldi maan jana tum

Khushion ki Tarah meri Her Saans mein

Khushion ki Tarah meri Her Saans mein

Pyar APna Basanay ka Wada kero

Rang Jitny Tumhari Mohabbat k Hain

Mere Dil mein Sajanay Ka wada kero

Hai Tumhari Wafao pe Mujhko Yakeen

Phir B Dil chahta hai Mere Dil Nasheen

Youn Hee Meri Tasali ki Khatir

Mujhko Apna Bana-nay Ka WAda Kero

Sirf Lafzon se Iqrar Hota Nahi

Ik Janib se hee Pyar Hota Nahi

Mein Tumhe Yaad Rekhnay Ki Khaon Kasam

Tum Mujhe Na Bhool nay Ka Wada Kero

Soch samjh lena qadam uthanay se pehly
Kahin kho na jao manzil aany se pehly
Muklish Sath se mehroom ho na jao kahi
Ye soch lena usey aazmany se pehly
Tumhary seenay mein bhi dharkta hai aik DIL
Ye soch lena kisi ka dil dukhanay se pehly
Umer Bher kon kis k liye rota hai
Log sirf aansoo bhaty hain defna-nay se pehly

Lafz Likhta Hon To Ehsas Likha Jata hai
Dard Likhta Hoon To Piyas Likha Jata Hai
Mere Zameer Se Wakif hai Youn Kalam mera
Mohabbat Likhta Hoon To Tera Naam Likha Jata hai

Phir kisi yaad ne shab bhar jagaya mujhko
Kia Saza di hai Mohabbat Ne Khudaya mujhko
Din ko aaram hai na raat ko chian kabhi
Jany kis khaak se qudrat ne banaya hai mujhko
Dukh ti ye hai k zamanay mein mily gair sabhi
Jo mila hai wo mila ben k peraya mujhko
Jab koi b na raha Kaanda mere roony ko
Gher ki deewaron ne seenay se lagaya mujhko
Youn to Umeed-e-Wafa tumse nahi hai koi
Phir chiragon ki tarah kis ne jalaya mujhko
Be-Wafa Zindagi ne jab chor dia hai tanha
Mout ne piyar se phoolon mea bithaya hai mujhko
Wo diYa ho jo Mohabbat ne jalaya tha kabhi
Gham ki Aandhi ne ser-e-Sham bujaya hai mujhko
Kesy Bhoolon ga wohi mohabbat k lamhy
Yaad aata raha Zulfon ka hi saya mujhko

Jin rahon pe ik umer tere saath raha hon
Kuch roz se wop rasty Sunn-saan bohat hain
Mil jao Kabhi Lout k Phir aaon na shayad
Kamzoor hon rah mein toofan bohat hain
Ik Tumhi nahi meri judai mein pereshan
Hum bhi to teri chah mein veeran bohat hain
Ik Terk-e-Wafa pe mein usy kesy bhula doon
Mujh per abhi uss shaks k ehsan bohat hain

Baton Baton Mein Bicher nay ka Ishara Ker k
Khud b Bohat Roya wo ham Se Kinara Ker k
Sochta Rehta Hoon Tanhai mein Anjam-e-Khaloos
Phir Isi Jurm-e-Mohabbat Ko Dobara Ker k
Jagmaga Di hain Tere Shehar ki Galian
Mein Ne Apny Her Askh Ko Sitara Ker K
Dekh Layty hain Chalo Hosla APne Dil K ka
Aur Kuch Roz Tere Saath Guzara ker k
Aik he Shehar mein Guzara ker k
Aik hee Shehar mein rehna hai per milna nahi
Dekhty hain ye Aziat Guwara ker k...

Wo Shaks Mujhe Pyara hai ussy Kehna

Wo Shaks Mujhe Pyara hai ussy Kehna
Wohi Jaan Ka Sahara Hai Usey Kehna
Log Piyare hain Bohat Se Mujhko
Wo Sab se Pyara hai Usey Kehna
Mohabbatein Shekayatein Adawatein uski
Mujhe Sab gawara Hain Usey Kehna
kacha Ghara Hai Aur Mein Thaka Hua
Bohat Door Kinara Hai Usey Kehna
Dil Ke Badly Jaan Mout Mangon
Mujhe Iss Mein Khasara Hai Usey Kehna
Chahney Waly Aur Bhi Hain Lakin
Ye "DIL" Sirf Tumhara hai Usey Kehna

Bhoolnay waly se koi keh de zara

Bhoolnay waly se koi keh de zara
iss tarah yaad aany se kia faida
Jab mere dil ki dunyain basti nahi
Phir khialon mein aany se kia faida
Kia kahoon tumse kitni umeedein thin
Tum kia badly duniya hee badal giye
aasra de ker dil torr dety hain mera
Phir aakhir iss tarah satanay se kia faida
Chaar tinkhy jala k kia mil gia
Mit saka na zamanay se mera nishan
Mujh pe bijli girao to janoo sahi
aashianay pe bijli giranay se kia faida

Aj aik Waada bohat Yaad Aya

Aj aik Waada bohat Yaad Aya
Bicher ker Jeena Merna Bohat Yaad Aya
Teri Palkon Pe Chamakty Howy Aansu
Apni Palkon pe rona bohat yaad aaya
kabhi Chat Pe Milna Raat Gaye Hamara
aaj din bher mujhe bohat yaad aya
Kabhi rooth jana tera younhi mujhse
kabhi mujhko mana-na bohat yaad aaya
Tera nazar jhuka k sherma k muskurana
aaj youn hi achanak bohat yaad aya
Intizar k lamhy wo judai k lamhy
Wo chup k rona aaj bohat yaad aya

Youn Rasmein Wafa ki aada kerty jana

Youn Rasmein Wafa ki aada kerty jana
Mere Naam sari saza kerty jana
Jane Se pehly Faqt jan-e-Jana!
Dil-o-Dharkan ko juda kerty jana

Wohi Takrar Lafzon ki

Wohi Takrar Lafzon ki
Wohi Andeshy fursat ki
Wohi gymnam si kasak
Wohi her baat pe ranjis
Wohi her baat pe lerna
Wohi muskan dheemi si
Wohi kuch bolti aankhein
Sab hee aasar kehty hain
Usey Mujhse Mohabbat hai

Suno hum tumse Kuch kehna chahty hain

Suno hum tumse Kuch kehna chahty hain
Iss Thais Ko iss Dard Ko hum Sehna chahty hain
Jisko Kabhi sheesa kabhi aaina kehty ho tum
Seenay k uss muqam mein hum rehna chahty hain
Miujon ka dar nahi hai Sahil se nahi hai piyar
Bas Thaam lo humein tum Hum Behna chahty hain
Kia yaad kero gee humko jab pass hum na hongy
Tere khuwab mein tere khial mein hum rehna chahty hain
Khial mein tere aks se ye sab to keh chuky hain
Tere Samnay gar hi ijaazat Kehna chahty hain

Kabhi Iss Nager Tujhe Dekhna

Kabhi Iss Nager Tujhe Dekhna
Kabhi uss nagar tujhe Dhoondna
Kabhi raat bher tujhe sochna
Kabhi raat bher tujhe dhoondna
Mera khuwab tha k Khial tha
Wo Uroj tha k Zawal tha
Teri Yaad aaye to Roo Dia
Jo tu mila to yujhe Kho dia
Mere Silsilay b Ajeeb Hain
Tujhe Chor ker tujhe dhundna
Kabhi iss nagar
Kabhi Uss Nagar

Youn Hosla Dil ne Hara Kab tha

Youn Hosla Dil ne Hara Kab tha
Bin Sharab Piye Guzara Kab Tha
Kuch Pal usey aur Dekh Sakty
Ashkon ko mager gawara kab tha
Hum Khud B judai ka sabeb thy
Uska Hee kasoor Sara Kab tha
Ab auron k saath hai to kya Dukh
Pehly B koi hamara Kab tha....!!

Majboor thy halat se mohabbat jata na seky
Khate Rahy hum Zakham kisi ko bata na saky
Chahton ki had se chaha usey
Sirf APna Dil nikal ker usey dikha na saky

Zabt Kerna Ab gham Chupana Zarori Ho gia
Rote Rote ab Muskurana Zarori Ho gia
Haath dekh k Ye Mashwara usne Dia
Kuch Likiron ko mitana ab zarori ho gia

Ye Dhuwa Dhuwa Sa

Ye Dhuwa Dhuwa Sa
Dil hai Bujha Bujha Sa
Aik Shaks aaj kal hai Humse
Khafa Khafa Sa
Aye Kaash koi Mujhsa
Duniya Mein Gham ZAda Ho
Mein Doon Usay Tasli
Wo De Mujhe Dilasa
Yaro ne Jab Haw di
Baal Aagye Dilon mein
Thi Baat Srscri Si
Jhgra Tha Bas Zara Sa
Uske Begair Dil Ka Alam Ajab Sa hai
Aik Ujra Ujra Gulshan
AIk Ghar Luta Luta Sa

Uski Mohabbat Ka tareeka kuch aur hai

Uski Mohabbat Ka tareeka kuch aur hai
Kehta wo aur hai kerta kuch aur hai
Jo us pe beeti hai wo b maloom hai mujhe
Jab uss se pochta hon batata kuch aur hai

Tumhara Ashk Barsana mujhe acha nahi lagta
Tumhara Youn Bikher Jana Mujhe Acha Nahi Lagta
Tumhara hamsafer Hona Mujhe Acha To lagta hai
Tumhara Thak K Ruk Jana mujhe acha nahi lagta
Tumhara Pyar Mein Larhna Mujhe Acha To lagta hai
Mager Khamosh Ho Jana Acha nahi lagta
Tumhari In Haseen Aankho Pe Mein jaan Deta Hoon
Suno
Inka Chalak Jana Mujhe Acha nahi Lagta

Tamam Shehar ko apne khilaf ker lety

Tamam Shehar ko apne khilaf ker lety
Hum Uske Jurm ka b atraaf ker layty
Wo aik baar to kehta mujhe Mohabbat hai
Riwation se b Hum Inhiraf ker layty
WO aik baar b humse mila nahi werna
Werna hum uske Dil ko b uske Khilaf ker layty

Bohat Tooty Huy hain hum abhi dastak nahi dena
hamari aankh hai purnam abhi Dastak nahi dena
Mere Yaro Abhi kuch din mere ahwal mat pocho
Abhi dil mein hai uska gham abhi dastak na dena
Shab-e-tanhai mein tarapna hai bohat mujhko
Kuch hai Dard Kuch Madham abhi dastak nahi dena

Aaa Ker Milo Humse

Aaa Ker Milo Humse
Bhary Zakham Phir Se Karido
Apna Jhoota Piyar Jataoo
Aik Aur Jhooti Tasali Do mujhe
Wada Kero k Tum AAoo ge
Aur Phir Tum na Aana Hamesha Ki Tarah
K Dil Phir Kehna Chahata HAi
Koi Naya Faraib

Teri Yaad Her Waqt Satati hai Mujhe Aaker le Ja
Ye Dil Tera He Naam pukarta Hai Aakee Le Ja
Iss Duniya Mein Mujhe Chain Nahi Aata Tere begair
Kahin ye Saansain hee na ruk jayn mujhe aa ker le ja
Wo jo tera aik lamha pereshani mein guzra
Ye Mujhse Berdash nahi hota mujhe aa ker le ja
Qasam se teri yaad mein aanso nahi rukty
Kis haal mein chor gaye ho mujhe aa ker le ja
Zinda Nahi reh sakon ge tere begair ay mere Sanam
Kerwani Thi Yehi Yaad Dehani k Mujhe Aa ker le ja

Jo dard k Sehra mein akela b bohat hai
Uske liye Dewar ka say ab bohat hai
Dekha nahi tum ne usko tanhai mein
Bichry huy logon ko wo roya b bohat hai
Kuch tujhko wafa pe Yakeen Na Tha
Kuch Dukh meri taqdeer mein likha bohat hai

Lagzishon se mevra tu b nahi mein b nahi
Dono insan hain KHUDa tu bhi nahi mein bhi nahi
Tu mujhe or mein tujhe ilzam deta hon magar
Apne Ander Jhankta tu b nahi mein bhi nahi
maslihat ne ker dia dono mein peda ikhtilaf
Werna Fitret ka bura tu b nahi mein b nahi
Mukhtalif simton mein dono ka safer jari raha
Aik lamhy ko ruka tu b nahi mein b nahi
Chahty dono bohat aik dosry ko hain mager
Ye haqiqat manta tu b nahi mein b nahi

Mein chahta hee na tha lajawab kerna tumhein
Werna jawab mere pas her sawal ka tha
Tumhari jeet se humy khushi hoti hai
Yehi jawaz mere pass apni haar ka tha

Teri Wafa
Wafa Jana
Meri Mohabbat
Kuch Bhi Nahi?

Tera Dard
Dard Thehra
Merz Zakham
Kuch Bhi Nahi?

Tumhari Baat
Pathar Ki Lakeer
Meri Iltija
Kuch Bhi Nahi?

Tujh Mein Ana
Samandar jesi
To
Mere Maan
Kuch Bhi Nahi?

Tera Gham
Gham Hua
Kya Mere Aansu
Kuch bhi Nahi?

Tera Wajood
Sab Kuch Jana
Kya Meri Hasti
Kuch Bhi Nahi

Zindagi mein tou nahi to yeh aarzu kis K liye
ye Mohabbat Nahi to Phir ye Justuju Kis K Liye
Mein Tujhe Dekha Keron Tu mujhe Dekha kery
Agar ye Nahi to Ru-bu-ru kis k liye
Dil-bari k tere chur-chy mein ne suny
Tu mera Dilbar nahi tou phir hai tou kis k liye
Her Ghazal mein n eperhi hai jaan-e-Jaa'n tere liye
Tu agar sunta nahi to phir ye guftugu kis k liye

Tanha Rehna Seekh raha hon Mer k jeena seekh raha hon
Maang k pana seekh lia hai Paa k khona seekh raha hon
Saber ko Zaad-e-Rah bana ker kanch pe chalna seekh raha hon
Jeeny k hain ajab taqazay zinda rehna seekh raha hon
Madhosi ne bohat sataya Hosh mein rehna seekh raha hon

Mujhe galy se laga lo bohat udas hon mein
Gham-e-Jahan se Chura lo bohat udas hon mein
Ye intizar ka dukh saha nahi jata
Tarap rahi hao mohabbat raha nahi jata
Tum apny pass bula lo bohat udas hon mein
ek saans mein milny ki piyas palti hai
Sulag raha hai badan aur rooh jalti hai
Bacha sako to bacha lo bohat udas hon mein
Bhatak chuka hon bohat zindgi ki rahon mein
Mujhe ab aa k chupa lo tum apni bahaon mein
Mere Sawal na talo bohat udas hon mein

Mujhe galy se laga lo bohat udas hon mein
Gham-e-Jahan se Chura lo bohat udas hon mein
Ye intizar ka dukh saha nahi jata
Tarap rahi hao mohabbat raha nahi jata
Tum apny pass bula lo bohat udas hon mein
ek saans mein milny ki piyas palti hai
Sulag raha hai badan aur rooh jalti hai
Bacha sako to bacha lo bohat udas hon mein
Bhatak chuka hon bohat zindgi ki rahon mein
Mujhe ab aa k chupa lo tum apni bahaon mein
Mere Sawal na talo bohat udas hon mein

Wo shaks jis se shikayatein theen bohat
Wohi Azeez us se mohabbatein theen bohat
Wo jab mila to dilon mein koi talab hi na thi
Bicher giya to hamari zaroratein theen bohat
Wo youn mila hai jesy kabhi mila hi na tha
Hamari zaat pe jiski inyateen theen bohat
Humy khud apne hee yaron ne ker dia ruswa
K Baat kuch b na thi wazaateen theen bohat
Her Ek mor per hum toot-tay bikher-tay rahy
Hamari Rooh pe tanha qamateen thi bohat

Mein Udas Rasta Hon Sham ka

Mein Udas Rasta Hon Sham ka
Mujeh Aahton ki Talash hai
Ye Sitary Hain sab Bujhy Bujhy
Mujhe jugnuon ki Talash Hai
Her Khushi hai mujhse Khafa Khafa
Mujhe Zindgi ki talash hai
Meri Piyas mein wo talab nahi
Mujhe Tishgini ki talash hai
Ik hajoom sa hai rawan duwan
Mujhe kisi ki talash hai

Kuch Wady Qasmein Yadein Thin

Kuch Wady Qasmein Yadein Thin
Kuch Qehqay Kuch Feradein thin
Kuch Chehray thy jo bhaye thy
Kuch dhoke thy jo khaye thy
Ab pass hamary kuch b nahi
Bas Yadon ki zanjeerien hain
Kuch rang bhari tasveerien hain
Kuch lafz miti tehreerain hain
Ab pass hamary kuch b nahi
Ab pass hamary kuch b nahi

Kyun unki tamana mein Shamil Nahi Hum

Kyun unki tamana mein Shamil Nahi Hum
Sach to ye Hai k Unke Qabil nahi hum
Ehsan hoga bhoole se agar yaad kerin wo
Jinki Yaad se aik pal b Ghafil nahi hum

Ek Chand tanha Khara Raha MEre Aasmano Se Zara pery
MEre Saath Saath Safer Mein tha mEri Manzilon se Zara Pery
Teri Justuju k Hisar se Tere Khuwab Tere Khial Se
MeiN Wo Shaks Tha Jo Khara Raha Teri Chahton Se Zaara pery
Kabhi Dil ki baat kahi na thi Jo Kahi wo b dabi dabi
Mere Lafz Pory to thy Magar teri Samaton se Zaara Pery
Tu chala giya Mere Hamsafer Zara Dekh murh k to ik nazar
Meri Kashtiyan hain jali hui Tere Sahilon se Zaara pehly

Fursat kisy hai Zakhmo pe merham lagany ki
Nighaien badal giyn apno aur begano ki
Tum na chorna yeh pyar ka rishta kabhi
Werna
Tamana na rehy gi Zinda reh jany ki

Tumhe Jaana Ijazat hai koi b Rasta chun lo
Hamary Muntazir Tehro ya Humko Alvida Keh Do
Tumhe Jaana IjaZat Hai
Hamary Paoon mein tp Waqr Ki Zanjeer Lipti hai
Qabel Is K, K Thak Jao Hamary Saath Chal K Tum
Mohabbat Ki Thakawat Tumko Humse Bad-Guman Ker de
Qabel Iss Se K Her Ik Wapisi Ki Rah Kho Jaye
Jo Socha B Nahi Humne Wohi Kal ko jo Ho Jaye
Tumhe Jaana Ijazat hai Koi B Faislla Ker Lo
Hamary Muntazir Tehro ya Humko Alvida Keh Do

Usy Yakeen jo Nahi hai to aazmaye Mujhe
Wo Aaina Hai to phir Aaina Dekhaye Mujhe
Mein uski aankh ka aanso tha usko qadar na thi
Jo gir giya hoon to raste se ab uthaye mujhe
Ajab Charag hoon din raat jalta rehta hon
Mein Thak giya hoon Hawa se Kaho Bujhaye Mujhe

Dil ne Dil ko Dil se Chaha

Dil ne Dil ko Dil se Chaha
Aik Be-qarari mein doob ker
Aik Masti mein Jhoom ker
Mohabbat Ne Apna Izhaar Chaha
Zindgi mein pehli Baar
Dil ne KIsi ko dil se Chaha
Khuwab Bany Aarzu ki tarah
Umeed Bani Zindgi ki tarah
Her Ehsas ne Iqrar Chaha
Zindgi mein pehli Baar
Dil ne kisi ko dil se chaha
Aetibaar ka haath thaam ker
Yadon ko Ham-raah le ker
Iss Mosem ne Be-Ikhtiyaa Chaha
Zindgi mein pehli baar
Dil ne kisi ko Dil se chaha
Ik Khoob-Surat Imtihan ki tarah
Tum huy hamari Dua ki tarah
Humne Tumhe Toot ker chaha
Zindgi mein pehli baar
Dil ne kisi ko dil se chaha

Raat Sunati Rahi mein sunta raha

Raat Sunati Rahi mein sunta raha
Dard ki dastan mein batata raha
Log Logon se chahat nibhaty rahy
Ik wo tha mera dil jalata raha
Dhoop Chaon si uski tabiyet Rahi
Wo Nighaein Milata raha churata raha
Ik mein hee pyasa raha dosto
Log peety rahy mein pilata raha
Dil k mehmaan khanay mein ronaq rahi
Koi aata raha koi jaata raha
Ham maktab ne sara sabaq perh lia
Mein Tera Naam likhta raha mitata raha

Haal Uska Tere Chehry Pe Likha lagta Hai
Wo Jo Chup Chaap Khara hai Tera Kia Lagta Hai
Youn Teri Yaad mein Din Raat Magan Rehta Hoon
Dil Dharkna Tere Qadmon ki Sada Lagta Hai
Dard k Pair Per Kuch Phool Nazar Aaty Hain
HaatH Tera Mere Seeny Pe Para Lagta hai
MeiN ne Socha Tha k Aabaad Hoon Aik Shehar Mein
Yahan To Her Shaks Ka Aandaz Juda lagta hai
Youn to Her Cheez Salamat Hai meri Duniya Mein
Aik KHud Se Taluq Hai K Jo Toota Hua Lagta Hai
Kitny Be-Kaif Thy Ham Ahd-E-Khizaan Ki surat
Phir Bahar aaye Hai Her Zakham Hara LAgta HAi
Jany mein Konsi Pasti mein gira Hoon Yaaro
Iss Qadar Door Hai soraj K Diya LAgta hai

Pereshan Tum Nahi Hona Kabhi Chup ke Nahi Rona
Judai Zahar Hoti Hai Mujeh Malom hai lakin
Firaq-O-Hijar ka mosam Yakeenan Beet jaye ga
Yakeenan Visal K lamhy Dobara Lout Aayn Gay
Wohi Shamein Wohi Ratien Wohi Qissy Wohi Batein
Wohi Phir Dastan hogi Mohabaat Meherbaan Hogi

Aana Ki Qaid se Nikalnay ka muqabila to kery
Wo mera Saath Nibhanay ka Hosla To Kery
Kabhi Na Tootnay Wala Hisar Ben Jaon
WO Meri Zaat mein Rehny Ka Faislla To Kery

Tumhara Naam Likh Likh Ker Mitana Bhool jati Hon
Tumhein Jab Yaad Kerti Hon Zamana Bhool Jati hon
Bohat Si Aesi Batien hain jo mere dil mein rehti hain
Magar Jab Tumse Milti hon batana bhool jati hon
Mein ye Her SHaam kehti hon tumhe ab bhool jaon ge
Magar jab subha hoti hai bhulana bhool jati hon

Mere Dil ki Raakh Kuraid mat

Mere Dil ki Raakh Kuraid mat
Issy Muskura k Hawa na de
Ye Chirag Phir b Chirag hai
Kahin tera Haath jala Na de
Zaara Dekh Chaand ki patiun nay
bikher bikher k tamam shab
Tera naam likha hai rait per
Koi Lahar aa ker mita na de

Ajnabi ben k Zindgi mein Koi aaya tha

Ajnabi ben k Zindgi mein Koi aaya tha
Youn laga jesy wo mera hi saaya tha
Mil Gaye tum to hua ye Mehsoos
Pehly Jo b Mila wo Parayaa tha

Dekho Wo Shaks Judai k Zamany Laya

Dekho Wo Shaks Judai k Zamany Laya
DDoor Jany k Naye Bahany Laya
Hum Jiske lams Se Gulshan ki Tarah Mehky
Ab wohi Hamary Liye Khandar Virany Laya
Gunha K Der Se bara Dhoya Daaman Ka Daag
Ab Mathy Pe Wo naya Daag Sajanay Laya
Jin Jazbon ki Kadar Na Ker Saka Tha Wo
Aaj Wohi Jazby Hum Pe Lotanay Laya
Jiske Pyar Mein Jaly Her pal Shama ki Tarah
Ranjishain Nayi Woh Shama Bujhanay Laya
Jin Phoolon k Muqadar mein Khizaan Thi Likhi
Wohi Phool Serhanay Mere Sajanay Laya
PEhly Hi Chahaton Ke Qasoor Waar Thy Hum
Phir Wo Harjaayi Naye Ilzaam laganay Laya...!

Wo Bohat khush hua mera ghar jalanay k bad
Wo kitna Zalim ho giya hai Bicher jany k baad
Jab bhi chaho Qatal ker dena magar itna khial rekhna
Kon tujhe Chahye ga Iss Dewanay k baad
Ab himmat kero Hossla na harro ay dil
Zaalim Terpatay hain dil mein Uter jany k Baad
Youn Mohabbat nibhany k Dawa na kero ay Logon
WO b Mujhe Chor gaya kasam uthany k baad
Teri mohabbat mein Hum her Gham Utha Rahy Hain
Kahan le jao gay mujhe iss Qaid-Khanay k baad
Jab b moqa milta hai Das leyty hain
Yehi Sabad Mila hai Sapno Se Dil lagany k baad

Raat aay Dard ki Chadar liye huy

Raat aay Dard ki Chadar liye huy
Soye Rahy Ye Bojh Palkon pe liye huy
Rasty mein mujhko Be-Ghar Dekh ker
Dost aaye haton mein pathar liye huy
Aj uske samnay jayn gay hum
Apne hee haton mein apna sir liye huy
Meri Aankh Umer Bhar hasti rahi
Ek Suhanay Khuwab ka manzar liye huy
Log aapas mein galy Milty Rahy
Aastionon mein Chupay huy Khanjer liye huy
Gardishain to aik bahana thi magar
Khuwaishein Phirti Rahy Der der lue huy
Teri Raah Takty Rahy per Tu Nahi Ayi
Behty Rahy Teri Mehfil Mein Khali Jaam Liye Huy

Berson ki Chahat ko Humne pal mein badalty dekha hai
Her Dum chahny walon ko chahat se mukerty dekha hai
Wo jo hamesha apnypyar pe fakhar ke batein kerty thy
Unko Humne Beech bazar mein aankhein badalty dekha hai
Hum nadan thy sapny sajaye humne pyar k aankho mein
Aur phir in sapno ko hum ne Bikherty dekha

Mein apny Ishq Mien Sacha hon aur kehta hon
Meri Ragon mein Bara Zehar Hai Riqabat ka
Hazar Usne Chaha k mein Bikher Jaon
So mein ne Saber Kia Saber B Qayamat Ka

nafratein Lakh milin Koi Mohabbat Na Mili
Zindgi Beet Giye Per Rahat na mili
Teri mehfil mein her Shaks ko Hansta Dekha
Ek mein He Thi Jisko Hasne Ki Ijazat na mili

Mere Saber ka na le imtihan

Mere Saber ka na le imtihan
Meri Khamoshi ko sada na de
Jo tere begair na je saky
Usy Jeeny ki tu Dua na de
Tu Azeez Dil-o-Nazar se hai
Tu Kareeb Rag-O-Jaan se hai
Mere Jism-O-Jaan ka ye faisla
Kahin Waqt aur berha na de
Tujhe Bhool k B na Bhula Sakon
Tujeh Chah k b Na paa Sakon
Meri hasraton ko shumar ker
Meri Chahaton ka sila na de
Wo Tarap jo Shula-E-Jaan Mein thi
Mere Tan badan se Lipet Giye
Jo Bujha Sake To Bujha Issye
Na Bujha saky to hawa Na de
Tujhe Milen Agar Kabhi Fursatien
Meri Shaam Phir Se Sanwar De
Agar Qatal kerna hai to Qatal Ker
Youn Judaion ki Saza Na De

Jo Adhuri Reh Giye Thi Wo Kahani Sochna
Baith ker Tanha Faqt Batien Purani Sochna
Jab Kisi Sahil Pe Aa jaye Meri Yaad Tumhein
Kyun Jaziron ki Tarf Rehta Hai Pani Sochna
Tum Agar Bicherny per Hee Khush Ho to Chalo Youn He Shahi
Baith Ker Tanha Faqt Shamein Sohani Sochna
Jab Kabhi likhna Kahani Zaat k Mouzoo Pe Tum
Kyun Badel jaty Hain lafzon k Mani Sochna

Chahy jany ki hasret Kisy nahi hoti

Chahy jany ki hasret Kisy nahi hoti
Mager her kisi ki aesi Kismat nahi hoti
Koi aik hota hai jo Sama jata hai dil mein
Her Kisi se to younhi Mohabbat Nahi hoti

Khamosh se Tum rehny Lagy Ho

Khamosh se Tum rehny Lagy Ho
Intizar kisi ka kerny lagy ho
Yakeenan Kisi se Hui Hai mohabbat
Bina Baat ke Hee muskurany lagy ho

Jisko Meri Chahat Ka Inkar Nahi tha

Jisko Meri Chahat Ka Inkar Nahi tha
Wo shaks mager mera talabgar nahi tha
bas maan lia apni Gunah Gari ko Mein ne
Malom Tha Mujhe Mein Gunah gar Nahi Tha

Wo Raat ki khamoshi mein kerty hain mulaqat
Usko MEri Tanhai ka ehsas bohat Hai
Kuch iss liye b usne mujhe Zakham diye hain
Wo janta hai Dard humein raas bohat hai

Thy jesy B Halat Wo alag Baat hai

Thy jesy B Halat Wo alag Baat hai
Mumkin hai na Tha k Tera Dehan kerty
Wo to Ho giye Tumse Kuch Mohabbat Werna
Hum to Wo khudser hain K Apni b Tamana Na Kerin

Apni yadien Apni Batien Le ker jaana bhool giya
Jany Wala Jaldi mein Mil K Jana Bhool Giya
Mur Mur k Dekha tha Uss ne Jate RAste Mein
Jesy uss ne Kehna Tha Kuch Jo Wo Kehna Bhool Giya
Waqt-e-Rukhsat Meri Aankhien Ponch Raha Raha Tha AAnchal se
Usko Gham Tha Itna Zada Khud Wo Rona Bhool Giya

Wo apna Ho ya begana Acha lagta hai

Wo apna Ho ya begana Acha lagta hai
Her pal uske Saath Bitana acha lagta hai
Mein Chahon wo Youn Hee Haan Keh Dega
Per Uska Naa Naa Kehna Acha Lagta Hai

Ek Bewafa Ko Na Aaya Hamari Wafa Ka

Ek Bewafa Ko Na Aaya Hamari Wafa Ka
Yakeen
Hum Ne Kaha Hum Mer Jayn Gay
Uss Ne Kaha!!!
((AAMEEN))

Wehsaton k Mor Pe lay Aye Mujjhko Zindgi
Aik pal b Tere Bin na Bhai mujhko Zindgi
Mukhtasir se Waqt mein Dekhi bahar-e-Aarzu
Chaar din ko Gulistan Mein Laai Mujhko Zindgi

tqRoky Kahan Rukhty Hain Mohabbat k Qafly
Bas Youn Hua Dil ke zamany badel gaye
Socha usy to humne na milny ki thaan li
Dekha usy to Sary bahany badel diye

Mein Aadmi Aik Aam Sa

Mein Aadmi Aik Aam Sa
Ik Qisa Na Tamam Sa
Na lehja Bemisal hai
Na baat Mein Kamal Hai
Hoon Dekhny mein Aam sa
Udasion ki Sham Sa
Jaisy Ek Raz Hoon Khud se be-Niaz sa
Na Meh-Jabeenon se Rebt hai
Na Shuhraton Ka Zabt hay
Ranjha Na Qias hoon
Insha Na Faiz Hoon
Mein paiker-e-Ikhlas Hoon
Wafa Dua Aur AAS hoon
Mein Shaks Khud-Shanaas hoon
Tumhi Kero Faisla!!!
Mein Aadmi Hoon Aam Sa?
Ya Phir Bohat He "KHAS" hoon?

Humhe Tumse Mohabbat Hai Hamara Imtihan le lo
Agar Chaho To Dil lay Lo Agar Chahao to Jaan le lo
Hume Tum Bhool Mat Jana Ye Aik feriyad kerty hain
Wafa ki Shart se b hum Tumhe Azaad kerty hain
Zuban b hum ne kholein gay Ye Tum Humse Zuban le Lo
Zamana Kuch nahi bas aik Rangeen Dhoka hai
Tumhary Pyar Pe laikin Humein Poora Bharosa Hai
Khizan k Gham Humein De Do baharon ka sama le Lo
Agar Chaho To Dil lay Lo Agar Chahao to Jaan le lo

Sath Chalne Mein jo Maza hota Wo haumy b kabhi mila hota
Yehi Hasret rahi hamari faqt Sath Apne koi Chala hota
Hum Bhatakte rahy they Rahon mein koi rasta pata chala hota
Thaam Leta humein bhi Barh k koi haath Humko Koi Mila Hota
Hum ulajhte nahi zamany se Aik jo Humsafer Mera hota
Hum na Thakte Safer mea Agar Sath apne koi Chala hota

Nikli jo aah Lab Pe Tera naam hi to hai
Dil mein aik khuwaish nakam hi to hai
Saabit kerega kia koi hum pe jafa ka jurm
Aik rooz bhool jaye ga Ilzam hee to hai

Taluq kabhi iss Qadar na tooty thy

Taluq kabhi iss Qadar na tooty thy
K uski yaad b dil se Khafa gizerti hai
Wo ab mily b to milta hai iss tarah jesy
Bujhy chirag ko choo ker hawa guzerti hai

Iss Tarah Dil mein samao gaye malom na tha
Iss Tarah dilo terpao gay Malom na tha
Socha tha Door ho Yaad nahi aao gay
Magar iss kadar Yaad aao gay Malom na tha

Apny asol kabhi youn b torny pary

Apny asol kabhi youn b torny pary
Uski kahata thi haath mujhe jorny pery
Aaaya na jab qarar dil-e-beqarar ko
Yadon k rukh tumhari terf morny pery
Unko meri yaad aaye bhool ker
Apny peraye jin ke liye chornay pery

Tu gaye dino mein o saath tha

Tu gaye dino mein o saath tha
Mere Qalb-o-jaan ka sbaat tha
Yeh bila waja tera roothna
Meri Zindgi ko mita na de
Tere samnay meri hum nafs
Meri Dharkano ki bisat kia?
Tera iss tarah mujhe dekhna
Meri umer ko gahta na de
tabeeb-e-jaan tera pyar meri hiyat hai
Mein merz hon tere
mujhe door ja k aawaz na de

Aaj hum unhain BEWAFA bana ker aaye hain
Un k KHATaON ko pani mein baha k aaye hain
Koi nikal ker parh na le unhe
Iss liye Pani mein b AAG laga ker aaye hain

Tamana phir machal jaye ge agar tum milne aa jao
Ye mosem b badel jaye agar tum milne aa jao
Mujhe gham hai k mein ne zindgi mein kuch nai paya
Ye gham dilse nikal jaye agr tum milne aa jao
nahi milte ho mujhse tum to sab hamdard hain mere
Zamana mujhse jal jaye agar tum milne aa jao

Khalos-e-dil se milo to saza dety hain log
Sachy jazbaat b thukra dety hain log
Dekh nahi sakty do dilon ka milna
behty huy do perinday b ura dety hain log

Meri chahat mea khot to nahi shamil

Meri chahat mea khot to nahi shamil
phir kyun bar baar aazmay mujhe?
Dil uski yaad se ik pal b nahi ghafil
phir kesy mumkin hai wo bhool jaye mujhe

Chalo Jazba-e-Dil azma k dekhty hain

Chalo Jazba-e-Dil azma k dekhty hain
Khuwab uski aankho mein saja k dekhty hain
na jany kyun wo humy aapna aapna lagta hai
Dil k aangan mein jab usy saja k dekhty hain
Suna hai jo mangy dil se wo mil k rehta hai
Chalo ab mojzy apni dua k dekhty haain
Jab b likhta hon koi lafz uske naam k baad
Sare lafz mujhe muskura k dekhte hain
wo nibhaye ya na nibhaye
Hum to gee jaan se uss se nibha k dekhty hain
Dhool reh jati hai faqt aankh mein
Doston ko jab aazma k dekhty hain

Youn rooth jana acha nahi lagta

Youn rooth jana acha nahi lagta
Youn dil ko terpana acha nahi lagta
Mere dil mein jo baat hai meri aankhon se chura lo
Mujhe her baat batana acha nahi lagta

Wo pal aesa tha k hum inkar na ker paye
Zamany k der se ikrar na ker paye
Na thi jin k bina zindgi munasib
Chor diya unho ne aur hum sawal na ker paye

Unki palkon se koi askh tapak jany do

Unki palkon se koi askh tapak jany do
unke aashkon se mera dard obher jany do
Hum jo roty hain to rony nahi deta koi
Sabko malom hai youn bojh utar jata hai

Her kisi ko dunya mein shoratien nahi miltin
Zindgi k lamho ki qeematien nahi miltin
Jeet ki khuwaish mein amaal b to lazim hain
Sirf chand iradon se mussaratien nahi miltin
Faisly ye chahat k aasman pe hoty hain
Do dilon k milny se kismatien nahi miltein
Deen aur duniya ko saath rekhna perta hai
Masjidon mein rehny se jannatien nahi miltin
Maan lo iss zamany mein or b hain hum jesy
Hasb-e-aarzu jinko chahatien nahi miltin

Kabhi aa jao tum pal bher ko

Kabhi aa jao tum pal bher ko
Mujhe tumse batien kerni hain
Kuch gham k geet sunany hain
Kuch raaz hain jo batany hain
Kuch Dil ko yaar behlana hai
Kuch Zakham hain jo dikhany hain
Kuch dik se yadien dhoni hain
Kuch natay naye banany hain
Ji shair likhy hain teri furkat mea
Kuch shair tumhen wo sunany hain
Kuch dard sunany hain dil k
Kuch oiyari batien kerni hain
Kabhi aa jao tum pal bher ko
Mujhe tumse batien kerni hain

Khuwab khody to teru zaat k khanjer nikly
Khud mein dooby to teri zaat k ander se nikly
Bewajha na thi bejan baton ki chahat
Dil jo toota to tere pyar k mander nikly
Hum to samjhy thy k hon gy ye do char aanso
Rony behty to samander k samnerdar nikly

Jab yaad k deep jalein dil mein

Jab yaad k deep jalein dil mein
Aur sham k saaye dhalty hon
Jab pyar kisi ka yaad aayee
Aur ziker kisi k chalty hoon
Na chah k aankhien bher aayn
Aur askh na tumse Rukhte hon
tab unn logon ko yaad kero
Jo piyar tumhi se kerty hon
Jo tum bin jee na sakty hon
Aur tum per dil se merty hon

Zakhm mere seeny k jab bher jayn gay

Zakhm mere seeny k jab bher jayn gay
Aansu b moti ben ker bikher jayn gay
Ye mat pochna k kis kis ne dard dia hai
werna is mein kuch apno k be naam aayn gay

Kabhi yehi naaz k wo mera hai faqt mera
kabhi ye der k wo mujhse naraz to nahi
Kabhi ye dua k usy milein jahan ki khushiyan
Kabhi ye khauf k wo khush mera bina to nahi

Kahaan thy hosh mein k khud ko sahara dety
Ye both tha k her baat pe muskura dete
agar hamary chehry pe hoti Zakhm-e-Dil ki jhalak
To hum aaino ko b rula dety

Gaye waqt ka guman kerna nahi aata

Gaye waqt ka guman kerna nahi aata
Mujhe aankhien num kerna nahi aata
Pyar ho yaa nafret be panah
Mujhe kuch b kum kerna nahi aata

Bicher k uss se kahin sukoon na mila

gd
Bicher k uss se kahin sukoon na mila
lakon mile zindgi mea koi uss sa na mila
aur koi sikhwa nahi zindgi se mujhko
Sab kuch mila zindgi mein faqat wohi na mila

Unko ye shikayat hai humse k

Unko ye shikayat hai humse k
Hum her kisi ko dekh ker muskuraty hain
na samjh hai wo kya jaane
humein to her chehre mein wohi nazar aaty hain

Tor do na wo kasm jo khai hai

Tor do na wo kasm jo khai hai
Kabhi kabhi yaad ker lene mein kia burai hai
Yaad apko kiye bina raha b to nahi jata
Dil mein jagha aap ne aisi jo banai hai

Wo ek shaks ki manzil b rasta b hai

Wo ek shaks ki manzil b rasta b hai
Wohi dua bhi wohi hasil-e-dua bhi hai
Mein uski khoj mein nikla hon sath le ke usy
Wo husn mujh pe ayan bhi hai aur chupa bhi hai
Khula hai dil ka dereecha uski dastak per
Jo mujhko meri nighaon se dekhta b hai
Ye meri sarhad-e-jaan mein qadam dhara kis ne
K mehw-e-khuwab hon aankho mein Rat jaga bhi
Usy wo bhoolne lagta hai jo usy bhooly
Aankh ke dil zada or sar phira b hai

Zindgi itni mukhtaser kyun hai

Zindgi itni mukhtaser kyun hai
Mokhtasar hai to der-bader kyun hai
Jo rekhty thy pal pal ki khabar
Aaj wo itny bekhabar kyun hain

Wo to rehta hai her ik ki aankh ka tara ben ker
Faisla kesy ho maznor-e-nazar kis ka hai
Uska dil ham to nahi jeet sakty hain shayad
Dekhna ye hai k uss dil pe asar kia ka hai

Sabab Judai ka kuch to batao mujhe

Sabab Judai ka kuch to batao mujhe
Phir Chahe Dil-o-Jaan se Satao mujhe
Chalo Ye Maana k tumhe furset nahi
Magar ye Lazim to nahi k bhool jao mujhe

Mujhe Khud ki hai Aarzu

Mujhe Khud ki hai Aarzu
Mujhe Kurbaton ka khumaar de
Mere Ang ang mein Youn utter
K mukjhii mein khud ko utar de
Tu jo rag rag mein bus gya
To hai dooriyon ka jawaz kia
Meri Zindgi mere pass aa
Meri Be-Khudi ko qarar de
Hai Nazar Nazar teri justuju
Tu meri wafa ki hai Aabroo
Kabhi houn b ho mere Ruburu
Mujhe jaan se hee guzar de
Mujhe iss tarah se tu Yaad aa
Teri yaad ka b human na ho
Tu mere khiaal mein youn saama
Mera Harf harf Nikhar de

Wo chandni Ratien giyn
Wo Mulaqatien giyn
Rang badla yaar ka
wo pyar ki batien giyn
Rah Wo Rasm-e-Dosti Qaim to hai
Lakin Ibtid-e-Shoq ki Lambi Mulaqatien giyn

Kaha uss ne bharosa dil pe itna nahi kerty
Kaha mein ne mohabbat mein kabhi socha nahi kerty
Kaha uss ne Bohat Khush Rang Duniya k nazary hain
Kaha mein ne jab tum ho to hum kuch dekha nahi kerty
Kaha Uss ne mea tumse Door hon lakin tumhara hon
Kaha mein ne Sapny Dil ko behlaya nahi kerty
Kaha Uss ne Tumhari Chahat tumhein Ruswaiyan de gi
Kaha mein ne Sohrat se Ghabraya nahi kerty
Kaha Uss ne "Samjh Jao Samjh Jao Ay Mere Dost"
Kaha mein ne doston ko Samjhaya nahi kerty

Wo jo dil mein tera muqam hai
Kisi or ko wo dia nahi
Wo jo rishta tujhse ben gia
Kisi aur so wo bana nahi
Wo jo pyar tujhse ho gia
Kisi aur so wo hua nahi
Wo jo raaz tujhse hai keh dia
Kisi aur se wo kaha nahi
Wo ji sukh mila teri zaat se
Kisi aur se wo mila nahi
Tu basa hai aankho mein jis tarah
Koi aur asey basa nahi
Tu hua hai jitna kareebter
Koi aur itna hua nahi
Tera naam hai dil mein jis tarah
Koi naam aesy likha nahi
Tera naqas dil pe hua bana hai
Kabhi ek pal b mita nahi

Unhy to Furset nahi humse milny ki

Unhy to Furset nahi humse milny ki
Aur hamara Waqt guzerta hai unki Fariyad ker k
Agar aayn wo meri Mout Pe To Keh dena
Abhi soya hai apko Yaad ker k

Meri Aankho ki piyas ko kaash samjhta koi
Mere Dil ki aas ko kaash samjhta koi
Phoolon k badly kanto ki chubhan shahi mein ne
In kanto ki chubhan ko kaash samjhta koi
Mein ne akser deep jalaye thy rahon mein uski
Un deepon ki roshni ko kaash samjhta koi
Sitaro ki bheed mei chand ki tarah tanha rehny lagy hum
Hamary iss Tanha Rehny ko kaash samjhta koi
Khiza mein patton ki tarah toot k Bikherny Lagy hum
hamry toot k bikherny ko kaash samjhta koi
Be mosem k badlon ki tarah beresny lagi ye aankhien
In aakho k beresny ko kaash samjhta koi
Mere Ashiya ka Derwaza ab b uski rah takta hai
Is derwazy ki raah takny ko kaash samjhta koi
Bicher gia ik bhianak tofan ki tarah wo mujhse
Iss tofan k bicherny ko kaash samjhta koi

Agar tum khol behty ho ye safha shaam se pehly
Muqam-e-saber se pehly
Had-e-ilzam se pehly
Khani khatam hi kerni hai
Ager...Anjaam se pehly
Tou ye b faislla ker do
K hum likhein to kia likhein?
Tumhary naam se pehly?

Aanso bhari hain ye jeeven ki rahein

Aanso bhari hain ye jeeven ki rahein
Koi unse keh de hamy bhool jayn
Wady bhula dain kasmein torr dain
Haalat pe apni humy chorr dain wo
Aesy jahan se kyun ham dil lagaien
Koi unse keh de humy bhool jayn
Berbadieon ki ajab daastan hoon
Shabnam b roye me wo paasbaan hoon
Tumhein ghar mubarak hamien apni aahien
Aanso bhari yeh jeeven ki rahein
Koi unse keh de hamy bhool jayn

Udas Mosem k Ratjgon Mein

Udas Mosem k Ratjgon Mein
Her Ik Lamha Bikher Gia Hai
Phir Aesy Mosem mein kon aye
Koi To Jaye Tere Nagar Ki
Musafiton ko Smet Laye
Teri gali mein hamari sochien bikher aye
Tujhe batye k kon k se Auchalta hai wafa k Moti
Tumhari janib koi to jaye
Meri Zuban mein tujhe bulaye tujhe manaye
Hamai halet tujhe bataye
To apny Dil ko b chain aaye

Yahan sabko mily pyar yeh zarori to nahi hai
Ho Kismat pe Ikhtiyar ye Zarori to nahi hai
Dard dil mein agar ho to Rooh Roti hai
Aankhien Royn zaar zaar ye zarori to nahi hai
Phoolon ki chuban se daman huwa chalni
Ho uss mein koi ghar Ye zarori to nahi hai
Jo her ghari khaty hain sang merny ki kasmein
Ho sang jeeny ko tiyar ye zarori to nahi hai
Umeed mein jiski teri palkein hui pathar
Usy ho tera intizar ye zarori to nahi hai
Yakeen kerke jisko apni zindgi banaon
Usy tujhpar atibar ye zarori to nahi hai
Beth ker rona khoob badnaseebi per apni
Ziist se ho sab bezar ye zarori to nahi hai

Kaisa dia hai uss ne
meri wafaon ka silah
Phir bhi nahi hai uss se
iss tooty Dil ka gilla
Wo jahan b rahy
Hamesha Khush-o-khuram rahy
Ham ne berbaad ho ker b
Kabhi na kia uss se sikhwa
Zamany de dukh diye
Hamesha surat badel badel ker
Tanha Mein
Tanhai hi mera mukaddar bana
Chahaton se Sangdilon ne hamy loota
Wafa ki Talash mein Be-wafai Mukaddar bana
Kis ko batlain tooty dil ki dastaan
Iss Chahat mein kon jeeta or kiss ko kia mila
Hameian hamesha Wafa k badly
Bewafai hee mili yaroo
Nahi shikwa koi uss se mujhe kia Gham mila

Gham ki her had se guzer jayn gay

Gham ki her had se guzer jayn gay
Sager se Samander mea Uter Jayn gay
Humy Marny k liye kisi Zehar ki Zorurat nahi
Dil se Nikal Dena Hum khud hee mer jayn gay

Iss Rah-E-Mohabbat ki tum baat na pocho
Kis Tarah Guzerty hain din raat na pocho
Anmol jo insan hain Bemool bikty hain
Duniya k Iss Bazar ki Tum Baat na pocho

Bhooly hain wo iss tarah se humy

Bhooly hain wo iss tarah se humy
Ab Intizar kerna naseeb ho gia
Na jany koi khata ho giye humse
Ya koi or un ke kareeb ho gia

Aankho ka rang baat ka lehja badel gia
wo shaks aik shaam mein kitna badel gia
shayad wafa k naam se uktaa gia tha wo
jo manzil k pass aa k rasta badel gia

Pyar mein mehfil na sahi tanhai to milti hai
Milan na sahi judai to milti hai
Kon kehta hai pyar mein kuch nahi milta
Wafa na shai bewafai to milti hai

Uss ne aik baar batiya tha humko

Uss ne aik baar batiya tha humko
barasti barish se ishq hai usko
uska ishq pany k liye
yeh aankhien her raat barasti hain

Aagaz mein ne kia tha Tum ikhtatam ker do
Jab chaho mere jazbo ko benam ker do
Baat agar zerf ki hai to youn ker lo
Tum jeet jao haar mere naam ker do
Meri hansi k gulab meri mushkurahut k kanwal lelo
Apny gham apny sare aanso mere naam ker do
Saahil dekh ker kis soch mein perr gaye ho
Aagy berh jao mujhe sapurf-e-mouj-e-hawadis kerdo
Musafat hai kathin Maznil hai door
Jo ho manzooor Apna saath mere naam ker do

Mein jo mehka to meri shaakh jala di us ne
Sabz mosem mein mujhe zerd hawa di usne
Pehly ik lamhy ki zanjeer se bandha mujhko
Aur phir waqt ki raftar barha di uss ne
Janty thy mujhe mout sakoon bakhshy gi
Wo sitemgar tha so jeeny ki DUA di uss ne
Uske hony se thin sansen meri dugni
Wo jo bichra to meri umer ghata di uss ne

Ajab kashmakash k rasty hain

Ajab kashmakash k rasty hain
Barhi kathin ye musafitien hain
Mein jiski rahon mea bich giye hon
Usi ko mujh se shikayetien hain
Shikiyetien sab baja hain lakin
Mein kesy usko yakeen dilaon?
Usko bhoolon to mar jaon
Mein iss khamoshi k imthihan mein
kahan kahan seguzer giye hon
usy khabar bhi nahi hai shayad
Mein dheeray dheeray bikher gai hon

Aj k baad her aik cheez badal jaye ge

Aj k baad her aik cheez badal jaye ge
Teri ulfat bhi mere dil se nikal jaye ge
Doobta deka raha tha mein aik muddat se
Ab ye kashti teri yadon ki sanbhel jaye ge
Wo jo kerta hai pyar ki batien akser
Uski aadat hai ye adat b badel jaye ge
Ishq perwana hai jel jaye ga mer jaye ga
Pyar ki shama bhi aik roz pigel jaye ge
Aj tanha hoon tere gham mea teri furqat mein
Wasal ki jab na rahi ye b shab dhal jaye ge
Kuch ghamo k liye Hai zaher b Dawa
Zindgi mout ki bahon mea behal jaye gee

Mohabbat Naam hai mera Agar chaho gay tum mujhko
Tumhari Saans se pehly Tumhari Jaan ben jaoo
Ager Dekho gay tum Mujhko
Tumhari aankh se pehly Tumhara khuwab ben jaon
Agar socho gay tum mujhko
Tumhary paon se pehly tumhari khak ben jaon

Tooty huy khuabon mein haqiqat dhoondta tha
Pather k dilon mein mohabbat dhoondta tha
Naadan hoon mein ab tak ye b nahi samjha
Bejaan but-toun mein Ulfat dhoondta tha
Mere Jazbaat ki kimet yaah kuch b nahi
Jhoot k bazaron mein sachaie fhoondta tha
Iss Ajnabhi duniya mein koi b apna nahi
Gairon ki aankho mein apni suret dhoondta tha
Umeed ki thi Pyar kiBas yehi bhool thi meri
Girty huy asnkhon mein apni hasret dhoondta tha

Jany wale meri her soch mein shamil rehna
Jaisay ab pass ho youn hee mujhe hasil rehna
Chaahatien aur bhi behrti hain bicher jany se
Tum mere ho to issi baat k qayel rehna
Her nai rut mein mujhe behjna apni khushbu
Teri khushbu k bina lagta hai muskil rehna
Rishni ben ker uter aana meri raton mein
Aber ben ker kabhi suraj k muqabil rehna
Phool behjeon ge tumhe behty huwy pani mein
Ho saky tum se to ja ker labe sahil rehna

Juda hona hee thehra to

Juda hona hee thehra to
Gila kesa Shikyat kia
Juda ho jayn chuppke se
Na tum bolo na hum bolien
hamary bolnay se judai phail sakti hai
Hawaon mein fizaon mein
Judai zaat mein bher lain
Chalo hum iss tarah ker lain
Kisi sunsaan rasty pe juda ho jayn chupke se
Na tum bolo na hum bolien

mein unwan tha wo dastan likh gia

mein unwan tha wo dastan likh gia
Aik aada se phool ko gulistan likh gia
Khak k Zaron si thi Meri Oqat
WO apny lafzon mein mujhe aasman likh gia

Jab dil kisi ko bhool na paye

Jab dil kisi ko bhool na paye
Aankho se aanso ruk na paye
Yadon ki sham guzer na paye
To yaad kerna iss dil ko
Jo bhool k bhi tumko bhool na paye

Khud ko Khud se ham kalam ker k dekhna
Kitna muskil hai ye kam ker k dekhna
Kis qader udas guzerti hain shamien meri
Yaad kisi ko kisi sham ker k dekhna

Lafzon ki justuju mein sab kuch ganwa dia
Wo Chal dia mein tarz-e-Ada dhoondta raha
Usko kisi ne RAB se lia mang
Aur mein sajdy mein gir k
Harf-e-Dua Dhoondta raha

Juda huy hain bohat log aik tum bhi sahi

Ab itni baat pe kia zindgi Haram kerin

Wo jo sochta hai uski wazahat bhi nahi kerta
wo shaks to Khul k Mohabbat bhi nahi kerta
Jis tarah toot k chaha hai humne usy
Iss tarah to koi ibadat bhi nahi kerta

Kabhi Mom ben k Pigel gia

Kabhi Mom ben k Pigel gia
Kabi girty girty sanbhel gia
Wo ben k lamha Guraiz ka
Mere Pass se nikel gia
Tujhe rokty bhi to kis tarah
Tu kitna shaks ajeeb tha
Kabhi tarap utha meri aah se
Kabi Ashk se na pigel saka
Sar-e-Rah mila tu agar kabhi
To nazar chura k guzer gia
Tu chala gia jahan chor k
Mein wahan se phir na palet saki
Tu to sanbhel gia mujhe chor k
Mein bikher k phir na simet saki

Mujhe Manzilon se aziz hain teri Raahguzer ki Musafitain
K Likhi hain mere naseeb mein Umer Bher ki Musafatain
Usi Aik pal ki talash mein jisy log kehty hain zindgi
Teri Rahguzer mein bikher giye Meri Umer Bher ki Musafatain

Aj phir teri Yaad aaye hai

Aj phir teri Yaad aaye hai
Aaj phir na raat kat paye gee
Aj phir nain bersain gay
Aj phir neend roth jaye ge
Aj phir Dil tujhe pukary ga
Aj phir aas toot jaye ge

Silsily Jo wafa k rekhty hain

Silsily Jo wafa k rekhty hain
Hosly Intiha k rekhty hain
Hum Kabhi Bud-Dua Nahi dety
Hum saliqy Dua k rekhty hain
Hum nahi Shikast k qayal
Hum safenay jala k rekhty hain
Unke Damen bhi jalty dekhy hain
Jo damen bachaa k rekhty hain

Kyun Dil mein bus k dil dukhaty hain log?
Kyun her kadam pe azmaty hain log?
Her Pal Rehty hain Aankhon mein Sapno ki tarah
Phir Unhi Aankho ko Kyun Rulaty hain Log?

Lipta hai mere dil se kisi raaz ki soret
Wo shaks jisko mera hona bhi nahi hai
Yeh Dosti aur Mohabbat ki rawayet bhi hai Ajeeb
Pana bhi nahi hai usy khona bhi nahi hai

Jo teri nazar se guzer jaya kerty hain
Wo sitary akser toot jaya kerty hain
Kuch log Dard ko Biyan nahi kerty
Bas Chup chaap bikher jaya kerty hain

Iss se pehly k teri yaad mujhe dewana ker de
Duniya jahan se begana ker de
Ban ke demak mujhe khane lagy
Dekh ker meri halat
Duniya waly afsana banany lagy
Mein tujhko bhula donga
Teri yaad k naqs mein dil se mita donga

kabhi jo ehsas ho tumko k

kabhi jo ehsas ho tumko k
Tum acha nahi kerty
Jo mujhko youn rulaty ho
Lahi mera jalaty ho
Agar iss AAG mein jal ker
Mein ek din raakh ho jaon
Mujhe dil se bhula dena
Samunder Me baha dena
Mager ye yaad rekhna
KHUDA se yeh Dua kerna k
Jo acha lagy tumko
Wo tum jesa na ho hargiz

Hum tumse Shook-e-Mulaqat nahi rekhty magar
Mily Koi aur tumse ye acha nahi lagta
Hum tumhe chahty b nahi mager
Chahe koi aur tumhe ye acha nahi lagta
Tere Kafley mea chalne ki aarzu nahi mager
Chale koi aur saath tere yeh acha nahi lagta
Dedaar tera shayad pasand nahi humien magar
Dekhy koi aur tumhe ye acha nahi lagta
Nafret hai mohabbat hai adawat hai malom nahi
Kisi aur ko bataen ye acha nahi lagta

Jab Dil kisi ko bhool na paye

Jab Dil kisi ko bhool na paye
Aankho se aanso ruk na paye
Yadon ki sham guzer na paye
To Yaad kerna iss dil ko
Jo bhool k b tumko bhool na paye

Aasnan hoga kesy din rat badel dena

Aasnan hoga kesy din rat badel dena
Mumkin nahi raha ab ye halat badel dena
Mujhe bechain kerta hai tera kehty kehty ruk jana
Phir kuch pal khamosh rehna phir bat badel dena
badel di hai tumne meri dharken meri duniya
Ab ho saky to mere jazbaat bedel dena
Tumhara khial hai tumhien mujhse kabhi hogi na mohabbat
Suno agar ho saky to apny ye khialat badel dena

Mout k pass ja k dekha hai

Mout k pass ja k dekha hai
Humne bhi dil laga k dekha hai
Chand ko log door se dekhin
Humne ghar bula k dekha hai
Ishq k daam poch lo humse
Humne ghar luta k dekha hai
Pyar bheek mein nahi milta
Humne Damen pehla k dekha hai
Eik Basher hai k bhoolta hee nahi
Usko jitna bhula k dekha hai

Meri Zindgi Meri Jan-e-Jaan

Meri Zindgi Meri Jan-e-Jaan
Mujhe kabhi le chalo kabhi uss jahan
Jahan tu hee mera naseeb ho
Jahan dilse tu hi kareeb ho
Jahan Ghum koi na aa saky
jahan nafratien na sata sakin
Jahan karb ho jahan ho khushi
Jahan chalti ho Haimein
zindgi jahan dil mera na udas ho
Jahan her ghari teri aas ho

Rakhy KHUDA ne doo rasty mujhe aazmany k liye
Wo chor de mujhe ya mein chor do usy zamany k liye
Kaisy maang lon RAB se usy bhool jany ki dua
Haath uthty nahi hain dua mein usy bhool jany k liye
Nahi ki zindgi mein meany koi bhi naiki
Per perhdi hain chup ke kuch Namazien usy pany k liye

Aks agar pani mein qaid kia ja sakta

Aks agar pani mein qaid kia ja sakta
Aain mumkin tha mein uss shaks apna sakta
Kash kuch dair na palkon pe thehrti shabnam
Mein usy sabr ka mefhoom to samjha sakta

Kabhi nazerien milany mein Zamany beet jaty hain
Kabhi Nazerien churany mein zamany bet jaty hain
Kisi ki aankh b khulti hai to sone ki nagri mein
Kisi ko ghar banany mein zamany beet jaty hain
Kabhi ghar se nukelty hi nazar aa jati hai maznil
Labhi manzil ko pany mein zamany beet jaty hain
Jinhy hum bhool jaty hain wo kyun ker yaad aaty hain
Unhain phir se bhoolany mein zamany beet jaty hain
Kabhi aik pal braber ben k sadiyan beet jati hain
Kabhi aik pal bitany mein zamany beet jaty hain

Waqt ne sari Kahani hi Badel dali

Waqt ne sari Kahani hi Badel dali
Pyar ka naam jo aata hai tou der lagya hai
Zakham kuch aisy bhi apno ne diye hain mujhko
Ab koi haath milata hai tou der lagta hai

Mein be-karar tha sajdy mein iltija ben ker
Wo mere samny behta raha khuda ben ker
Wafa k naam se nafret c ho giye hai mujhko
Jo ho saky to milo tum b bewafa ben ker
wo aik shaks jo pather bana gia hai mujhe
Wo khud b Jee Raha Hai Mager Saza ben ker

Newer Posts Older Posts Home